Quote
"main huun aur mashghala-e-jaama-dari hai yaahu kaif-dar-kaif 'ajab be-khabari hai yaa-hu har taraf sahar-e-nafi khauf-e-abad taari hai jaan levaa ye baligh-un-nazari hai yaahu hast-dar-hast hijaabaat ke sahraa Thahre kyaa ye tashrih-e-maqaam-e-bashri hai yaahu puuri quvvat se na kyuun dauDun abad ki jaanib ziist ik aalam-e-afraatafri hai yaahu ik sanvartaa huaa lamha to kahin mil jaataa dekh chehre pe mire dar-ba-dari hai yaahu in-o-aan jab mere purkaar ki gardish ke asiir phir ye kyuun kis liye daryuza-gari hai yaahu mere afkaar hain iblaagh-gazida to kyaa ek nae taur ki ye dida-vari hai yaahu"
H
Hamdoon Usmani