SHAWORDS

saath thaa itnaa bas aur bas — Afzal Ali Afzal

"saath thaa itnaa bas aur bas ek yaa do baras aur bas chaahatein hain ye kyaa aaj-kal calls kiin aaTh das aur bas to manaanaa hai us ko tujhe pyaar ki thaam nas aur bas ismatein luT rahi hain ye kyon ik zaraa si havas aur bas thaa milaa vo mujhe is tarah charsi ko juun charas aur bas Dar kisi ko nahin hogaa kyaa chand roza qafas aur bas"
Urdu

ساتھ تھا اتنا بس اور بس ایک یا دو برس اور بس چاہتیں ہیں یہ کیا آج کل کالس کیں آٹھ دس اور بس تو منانا ہے اس کو تجھے پیار کی تھام نس اور بس عصمتیں لٹ رہی ہیں یہ کیوں اک ذرا سی ہوس اور بس تھا ملا وہ مجھے اس طرح چرسی کو جوں چرس اور بس ڈر کسی کو نہیں ہوگا کیا چند روزہ قفس اور بس

Hindi

साथ था इतना बस और बस एक या दो बरस और बस चाहतें हैं ये क्या आज-कल काल्स कीं आठ दस और बस तो मनाना है उस को तुझे प्यार की थाम नस और बस इस्मतें लुट रही हैं ये क्यों इक ज़रा सी हवस और बस था मिला वो मुझे इस तरह चरसी को जूँ चरस और बस डर किसी को नहीं होगा क्या चंद रोज़ा क़फ़स और बस

saath thā itnā bas aur bas
Afzal Ali Afzal
Afzal Ali Afzal
Afzal Ali Afzal
poet19 quotes

More by Afzal Ali Afzal

View all →
Quote
"jald-az-jald bichhaD jaaun duaa de mujh ko yahi behtar hai tire haq mein bhulaa de mujh ko har koi sabr ki talqin kiyaa kartaa hai kaise karte hain koi ye bhi bataa de mujh ko main huun sadiyon se bhaTaktaa huaa pyaasaa dariyaa ai khudaa kuchh to samundar ke sivaa de mujh ko mujh saa divaana nahin sab ko mayassar pyaare ab tiri marzi hai chaahe to ganvaa de mujh ko is se pahle ki khaamoshi mujhe paagal kar de us se kahiyo ki zaraa aa ke rulaa de mujh ko in dinon dost mire saare hi ruThe hue hain mere dushman yahi mauqa hai haraa de mujh ko"
Afzal Ali AfzalAfzal Ali Afzal
Quote
"aap kahte hain ki be-kaar lahu rote hain ham to samjhe the samajhdaar lahu rote hain har dafa tum bhi tasavvur mein chale aate ho ham bhi phir TuuT ke har baar lahu rote hain is se pahle ki nigal jaae mujhe bechaini aa kahin baiTh ke gham-khvaar lahu rote hain surkh aankhon kaa sabab kyaa hai bataaein tum ko dard hotaa hai bahut yaar lahu rote hain is kahaani kaa nayaa moD hai meraa marnaa kyon kahaani ke ye kirdaar lahu rote hain daad dete hain jinhein aap khushi se uTh kar fan ke parde mein ye fankaar lahu rote hain ye bhi kaisaa hi ajab scene hai jis mein mil kar saare ke saare adaakaar lahu rote hain"
Afzal Ali AfzalAfzal Ali Afzal
Quote
"junhi dekhaa tiri raushan-jabin kaa nuur khalvat mein hai mahv-e-rashk koh-e-qaaf ki vo huur khalvat mein tiri yaadon ne kar Daalaa hamein majbur khalvat mein chhalak uTThaa hai palkon se gham-e-mastur khalvat mein miri saansein mahakti hain tiri khushbu se aksar yuun juun koi ghuncha-e-dil ho tiraa mazkur khalvat mein aziyyat-naak raaton mein sisakti hain tumhaare bin mire kamre ki divaarein ghamon se chuur khalvat mein shikam khaali badan nangaa hai pairon mein thakan pahne liye bachchon ko rotaa hai koi mazdur khalvat mein shab-e-hijraan ki tanhaai tiri furqat kaa gham is par shikasta dil hai yuun bhi zabt se maamur khalvat mein vabaa phaili hai aalam mein jidhar dekho udhar 'afzal' munaasib hai ki rahiye ab sabhi se duur khalvat mein"
Afzal Ali AfzalAfzal Ali Afzal