SHAWORDS

sohbat-e-shab kaa talabgaar na hogaa koi — Nami Ansari

HomeNami AnsariGhazal
"sohbat-e-shab kaa talabgaar na hogaa koi khauf itnaa hai ki bedaar na hogaa koi dhuup har samt se nikli to kahaan jaaoge dasht mein saaya-e-divaar na hogaa koi harf-e-ehsaas bhi jal jaaegaa honTon ki tarah muddaaa qaabil-e-izhaar na hogaa koi main ki parvarda-e-sahraa huun bikungaa kaise dekh lenaa ki kharidaar na hogaa koi kuchh to hai jis ki tapish zer-o-zabar karti hai yunhi rusvaa sar-e-baazaar na hogaa koi saare aalam ko tajassus hai nai samton kaa kaise 'ghaalib' kaa taraf-daar na hogaa koi kis ko ye ahd-e-junun saunp ke jaaun 'naami' jaantaa huun ki sazaa-vaar na hogaa koi"
Urdu

صحبت شب کا طلب گار نہ ہوگا کوئی خوف اتنا ہے کہ بیدار نہ ہوگا کوئی دھوپ ہر سمت سے نکلی تو کہاں جاؤ گے دشت میں سایۂ دیوار نہ ہوگا کوئی حرف احساس بھی جل جائے گا ہونٹوں کی طرح مدعا قابل اظہار نہ ہوگا کوئی میں کہ پروردۂ صحرا ہوں بکوں گا کیسے دیکھ لینا کہ خریدار نہ ہوگا کوئی کچھ تو ہے جس کی تپش زیر و زبر کرتی ہے یوں ہی رسوا سر بازار نہ ہوگا کوئی سارے عالم کو تجسس ہے نئی سمتوں کا کیسے غالبؔ کا طرفدار نہ ہوگا کوئی کس کو یہ عہد جنوں سونپ کے جاؤں نامیؔ جانتا ہوں کہ سزاوار نہ ہوگا کوئی

Hindi

सोहबत-ए-शब का तलबगार न होगा कोई ख़ौफ़ इतना है कि बेदार न होगा कोई धूप हर सम्त से निकली तो कहाँ जाओगे दश्त में साया-ए-दीवार न होगा कोई हर्फ़-ए-एहसास भी जल जाएगा होंटों की तरह मुद्दआ' क़ाबिल-ए-इज़हार न होगा कोई मैं कि पर्वर्दा-ए-सहरा हूँ बिकूंगा कैसे देख लेना कि ख़रीदार न होगा कोई कुछ तो है जिस की तपिश ज़ेर-ओ-ज़बर करती है यूँही रुस्वा सर-ए-बाज़ार न होगा कोई सारे आलम को तजस्सुस है नई सम्तों का कैसे 'ग़ालिब' का तरफ़-दार न होगा कोई किस को ये अहद-ए-जुनूँ सौंप के जाऊँ 'नामी' जानता हूँ कि सज़ा-वार न होगा कोई

sohbat-e-shab kā talabgār na hogā koī
Nami Ansari
Nami Ansari
Nami Ansari
poet18 quotes

More by Nami Ansari

View all →
Quote
"har shai vahi nahin hai jo parchhaaiyon mein hai is ke sivaa kuchh aur bhi gahraaiyon mein hai aaina jis se TuuT ke be-aab ho gayaa vo aks-e-be-navaa bhi tamaashaaiyon mein hai fursat mile to main bhi koi marsiya likhun ik dasht-e-karbalaa miri tanhaaiyon mein hai kis shahr mein talaash karein rishta-e-vafaa sunte to hain puraani shanaasaaiyon mein hai dariyaa ke zor-o-shor pe baatein hazaar hon paani magar vahi hai jo gahraaiyon mein hai ghul jaae sher mein to zamin aasmaan bane vo husn-e-laa-zavaal jo sachchaaiyon mein hai bekaar us ko ahl-e-vafaa mein ginaa gayaa 'naami' kahaan se aap ke shaidaaiyon mein hai"
Nami AnsariNami Ansari
Quote
"havaa-e-tund ke aage dhuaan Thahartaa nahin hamaare sar pe kabhi aasmaan Thahartaa nahin hisaab-e-dard karun bhi to is se kyaa haasil nigaah-e-shauq mein harf-e-ziyaan Thahartaa nahin na raaste kaa unhein 'ilm hai na manzil kaa hazaar gard uDe kaarvaan Thahartaa nahin jahaan pe sikka-e-zar ki khanak sunaai na de faqih-e-shahr ghaDi bhar vahaan Thahartaa nahin qarib o duur ye afvaah kaisi phail gai kisi ke ghar mein koi mehmaan Thahartaa nahin havaa-e-sajda ne har aastaan ko dekh liyaa jabin-e-shauq pe koi nishaan Thahartaa nahin ham apne aap ki pahchaan kyaa karein 'naami' yaqin panaptaa nahin hai gumaan Thahartaa nahin"
Nami AnsariNami Ansari
Quote
"khud aazmaa ke bhi daa've ajal ke dekhte hain dayaar-e-shauq mein ik baar chal ke dekhte hain pighalti hai ki nahin barf-e-naa-shanaasaai kisi ki garm-nigaahi se jal ke dekhte hain ye dasht-e-hu sar-e-gulshan kahaan se aa niklaa ye mo'jiza hai to ghar se nikal ke dekhte hain jinhein mili hi nahin chashm-o-dil ki binaai tamaashe vo bhi khumaar-e-azal ke dekhte hain usi ke zikr se mahfil mein phuul khilte the vo aa gayaa hai to sab aankh mal ke dekhte hain kisi ko aaj ke haalaat par qaraar nahin hamaare shahr mein sab khvaab kal ke dekhte hain abhi to lams-e-badan kaa hisaab baaqi hai ta'alluqaat ke pahlu badal ke dekhte hain na koi naara-e-tahsin-numaa na daad-e-sukhan ki sunne vaale bhi tevar ghazal ke dekhte hain na jaane kab sar-e-aaina khauf likh jaae ham apnaa chehra bhi 'naami' sanbhal ke dekhte hain"
Nami AnsariNami Ansari
Quote
"jahaan pe Duub gayaa thaa kabhi sitaara miraa usi ufuq pe jahaan-taab hai nazaara miraa yahi huaa ki parinde fazaa mein tair gae na kaam aaiin miri bandishein na chaara miraa havaa-e-dasht bhi majnun-sifat nahin hai agar to is maqaam pe shaayad na ho guzaara miraa abhi to harf-e-tamannaa likhaa nahin main ne abhi se kyuun varaq-jaan hai paara paara miraa na aag lagti na taqsim-e-jism-o-jaan hoti fughaan ki shahr-e-sitam par nahin ijaara miraa vo tirgi hai ki raah-e-khayaal bhi gum hai na aasmaan hai raushan na istiaara miraa na koi dasht munavvar huaa na dar 'naami' navaah-e-ghair mein jal bujh gayaa sharaara miraa"
Nami AnsariNami Ansari