SHAWORDS

thak jaataa huun roz ke aane jaane mein — Charagh Sharma

HomeCharagh SharmaGhazal
"thak jaataa huun roz ke aane jaane mein meraa bistar lagvaa do maikhaane mein us ke haath mein phuul hai mat kahiye kahiye us kaa haath hai phuul ko phuul banaane mein main kab se mauqe ki taaq mein huun us ko jaan-e-man kah duun jaane anjaane mein aankhon mein mat rok mujhe jaanaa hai udhar ye rasta khultaa hai jis tah-khaane mein laad na us ke husn kaa itnaa bojh 'charaagh' aa jaaegi moch ghazal ke shaane mein"
Urdu

تھک جاتا ہوں روز کے آنے جانے میں میرا بستر لگوا دو میخانے میں اس کے ہاتھ میں پھول ہے مت کہیے کہیے اس کا ہاتھ ہے پھول کو پھول بنانے میں میں کب سے موقع کی طاق میں ہوں اس کو جان من کہہ دوں جانے انجانے میں آنکھوں میں مت روک مجھے جانا ہے ادھر یہ رستہ کھلتا ہے جس تہہ خانے میں لاد نہ اس کے حسن کا اتنا بوجھ چراغؔ آ جائے گی موچ غزل کے شانے میں

Hindi

थक जाता हूँ रोज़ के आने जाने में मेरा बिस्तर लगवा दो मयख़ाने में उस के हाथ में फूल है मत कहिए कहिए उस का हाथ है फूल को फूल बनाने में मैं कब से मौक़े की ताक़ में हूँ उस को जान-ए-मन कह दूँ जाने अनजाने में आँखों में मत रोक मुझे जाना है उधर ये रस्ता खुलता है जिस तह-ख़ाने में लाद न उस के हुस्न का इतना बोझ 'चराग़' आ जाएगी मोच ग़ज़ल के शाने में

thak jaatā huuñ roz ke aane jaane meñ
Charagh Sharma
Charagh Sharma
Charagh Sharma
poet23 quotes

More by Charagh Sharma

View all →
Quote
"vo sirf qisse kahaaniyon ke muaamle the charaagh rakh de charaagh ghisne se koi jin-vin nahin nikalte charaagh rakh de hamaari maasumiyat to dekho rakh aae dil ham huzur-e-jaanaan ki jaise koi khudaa kaa banda havaa ke aage charaagh rakh de kisi ke saae ko qaid karne kaa ik tariqa bataa rahaa huun ik us ke aage charaagh rakh de ik us ke pichhe charaagh rakh de tujhe bahut shauq thaa mohabbat ki garm lapTon se khelne kaa le jal gai na hatheli ab khush kahaa thaa main ne charaagh rakh de charaagh le ke bhi DhunDne se charaagh jaisaa nahin milegaa so rakhni hai to charaagh se rakh nahin to pyaare charaagh rakh de charaagh raushan zarur kar to par is se pahle khudaa ki khaatir yahaan pe phailaa hai jo andheraa sameT zer-e-charaagh rakh de main dil ki baaton mein aa gayaa aur uThaa ke le aayaa us ki paael dimaagh detaa rahaa sadaaein charaagh rakh de charaagh rakh de"
Charagh SharmaCharagh Sharma
Quote
"mahaaz-e-jang se pahle kahin paDaav banaao nadi pe baandh banaane se pahle naav banaao ye raat sirf andheri nahin hai sard bhi hai diyaa banaa liyaa shaabaash ab alaav banaao banaanaa jaante ho tum to sab ke dil mein jagah hamaare dil mein banaa kar dikhaao aao banaao ye sang-e-marmari naakhun ye katthai polish ki koi dekhe to kah de hamaare ghaav banaao banaao taaj-mahal ke bajaae taash-mahal tamaam umr mohabbat karo giraao banaao tumhaari achchhi banegi hamaare saath ki tum bahaane achchhe banaa leti ho banaao banaao"
Charagh SharmaCharagh Sharma
Quote
"auron ki pyaas aur hai aur us ki pyaas aur kahtaa hai har gilaas pe bas ik gilaas aur khud ko kai baras se ye samjhaa rahe hain ham kaaTi hai itni umr to do-chaar maas aur pahle hi kam hasin kahaan thaa tumhaaraa gham pahnaa diyaa hai us ko ghazal kaa libaas aur Takraa rahi hai saans miri us ki saans se dil phir bhi de rahaa hai sadaa aur paas aur allaah us kaa lahja-e-shirin ki kyaa kahun vallaah us pe urdu zabaan ki miThaas aur baandhaa hai ab naqaab to phir kas ke baandh le ik ghunT pi ke ye na ho baDh jaae pyaas aur 'ghaalib' hayaat hote to karte ye e'tiraaf daur-e-'charaagh' mein hai ghazal kaa class aur"
Charagh SharmaCharagh Sharma