SHAWORDS

tum na jaano to balaa se meri — Aalim Akhtar Jaazib

"tum na jaano to balaa se meri kaun jiitaa hai du'aa se meri chalte jaate hain sitaare gum-sum kuchh badaltaa hai sadaa se meri baat to kar luun magar zid kaise baat kachchi hai khudaa se meri mujh se pahle bhi kai guzre hain koi kah de ye anaa se meri na hile ek bhi pattaa mujh se baat halki hai havaa se meri jo bhi aayaa huaa aadhaa vaapas kaun Tiktaa hai davaa se meri bad-tamizi to bahut thi us ki phir bhi behtar thi vafaa se meri"
Urdu

تم نہ جانو تو بلا سے میری کون جیتا ہے دعا سے میری چلتے جاتے ہیں ستارے گم سم کچھ بدلتا ہے صدا سے میری بات تو کر لوں مگر ضد کیسے بات کچی ہے خدا سے میری مجھ سے پہلے بھی کئی گزرے ہیں کوئی کہہ دے یہ انا سے میری نہ ہلے ایک بھی پتا مجھ سے بات ہلکی ہے ہوا سے میری جو بھی آیا ہوا آدھا واپس کون ٹکتا ہے دوا سے میری بد تمیزی تو بہت تھی اس کی پھر بھی بہتر تھی وفا سے میری

Hindi

तुम न जानो तो बला से मेरी कौन जीता है दु'आ से मेरी चलते जाते हैं सितारे गुम-सुम कुछ बदलता है सदा से मेरी बात तो कर लूँ मगर ज़िद कैसे बात कच्ची है ख़ुदा से मेरी मुझ से पहले भी कई गुज़रे हैं कोई कह दे ये अना से मेरी न हिले एक भी पत्ता मुझ से बात हल्की है हवा से मेरी जो भी आया हुआ आधा वापस कौन टिकता है दवा से मेरी बद-तमीज़ी तो बहुत थी उस की फिर भी बेहतर थी वफ़ा से मेरी

tum na jaano to balā se merī
Aalim Akhtar Jaazib
Aalim Akhtar Jaazib
Aalim Akhtar Jaazib
poet9 quotes

More by Aalim Akhtar Jaazib

View all →
Quote
"khiDkiyon par reingti hai chaandni kis kaa rasta dekhti hai chaandni qatl kar ke din kaa ye ab aai hai jhuTpuTe ki jaankani hai chaandni vo jo bistar par paDi hai jaan-bujhi us kaa chehra seinkti hai chaandni ek be-sudh jism ki dil-jui mein silvaTon mein ghul rahi hai chaandni raat bhar kamre mein mere ghuum kar thak ke bas ulTi paDi hai chaandni us kaa mere paas aanaa khel hai raat se Darti nahin hai chaandni baat karti mujh se ye pardon se bas subh tak lipTi rahi hai chaandni"
Aalim Akhtar JaazibAalim Akhtar Jaazib
Quote
"muskuraa kar savaal karte hain aap mujh ko niDhaal karte hain mere haathon pe rakh ke haath apne mere gaalon ko laal karte hain main to bimaar huun kai din se meraa kyaa vo khayaal karte hain kuchh karein yaa nahin karein lekin baat to be-misaal karte hain baiThe rahte hain aastinon mein dost bhi kyaa kamaal karte hain mere honTon pe rakh ke haath apne phir mujhi se savaal karte hain roz ik mudda'aa nayaa paa kar roz khud ko niDhaal karte hain un ke jaise to aabginon mein saans lenaa muhaal karte hain ham saraapaa hi aarzu hain par apne haathon kaa haal karte hain apne is dil ki baat karne mein kuchh bhi kahnaa muhaal karte hain"
Aalim Akhtar JaazibAalim Akhtar Jaazib
Quote
"kahe jaate hain vo aisaa nahin hai sukun dil ko magar hotaa nahin hai nahin aisaa na thaa vaisaa nahin hai bahaana par koi achchhaa nahin hai har ik ke masale hain is jahaan mein tumhaaraa masala anqaa nahin hai ba-juz tifli javaani aur piiri yahaan rasta koi chauthaa nahin hai tire chehre ki ye jo tamkanat hai pareshaan dil hai ye gahnaa nahin hai ghaTaa aankhon ke niche ghul rahi hai thakan se husn bhi bachtaa nahin hai na hairaan ho jo paani ghar mein utre ba-juz pasti ke ye bahtaa nahin hai"
Aalim Akhtar JaazibAalim Akhtar Jaazib

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari