SHAWORDS

tufaani haalaat bhi dekho — Bilqees Khan

HomeBilqees KhanGhazal
"tufaani haalaat bhi dekho Daal se TuuTe paat bhi dekho mujh par fatve gaDhne vaalo khud apni harkaat bhi dekho khvaab se aari in aankhon mein ashkon ki bohtaat bhi dekho dekh rahe ho sirf baghaavat laDki ke sadmaat bhi dekho khvaab hamaare dekhne vaalo tum apni auqaat bhi dekho"
Urdu

طوفانی حالات بھی دیکھو ڈال سے ٹوٹے پات بھی دیکھو مجھ پر فتوے گڑھنے والو خود اپنی حرکات بھی دیکھو خواب سے عاری ان آنکھوں میں اشکوں کی بہتات بھی دیکھو دیکھ رہے ہو صرف بغاوت لڑکی کے صدمات بھی دیکھو خواب ہمارے دیکھنے والو تم اپنی اوقات بھی دیکھو

Hindi

तूफ़ानी हालात भी देखो डाल से टूटे पात भी देखो मुझ पर फ़तवे गढ़ने वालो ख़ुद अपनी हरकात भी देखो ख़्वाब से आरी इन आँखों में अश्कों की बोहतात भी देखो देख रहे हो सिर्फ़ बग़ावत लड़की के सदमात भी देखो ख़्वाब हमारे देखने वालो तुम अपनी औक़ात भी देखो

tūfānī hālāt bhī dekho
Bilqees Khan
Bilqees Khan
Bilqees Khan
poet22 quotes

More by Bilqees Khan

View all →
Quote
"musaafiron kaa yahaan se guzar nahin hai kyaa tumhaare shahr mein koi shajar nahin hai kyaa kisi bhi vaqt nigaahein ye pher saktaa hai tumhein zamaane ki kuchh bhi khabar nahin hai kyaa jo tira-bakhti kaa kaatib milaa to puchhungi mire nasib mein koi sahar nahin hai kyaa nikaalte ho bahu ko jo ghar se nange sar tumhaare zehn mein beTi kaa ghar nahin hai kyaa khurach ke dekhungi haathon ki sab lakiron ko vafaa nibhaane kaa un mein hunar nahin hai kyaa tum aaine se mukhaatab ho aaj-kal 'bilqis' tumhaare ghar mein koi bhi bashar nahin hai kyaa"
Bilqees KhanBilqees Khan
Quote
"chali jo piyaa ki gali dhire dhire miri aankh kyuun nam hui dhire dhire ubhartaa gayaa mujh mein vo lamha lamha main tahlil hoti gai dhire dhire na baisaakhiyon kaa sahaaraa liyaa hai main paanv pe chalti rahi dhire dhire do-pahrein makaanon mein phaili hui hain mein saae si baDhti hui dhire dhire miraa zabt baDhtaa chalaa jaa rahaa hai main parchhaain maan ki bani dhire dhire tiri yaad bhi jaise aari hai koi mire dil pe chalti hui dhire dhire havaa-e-zamaana mukhaalif thi lekin main parvaaz karti rahi dhire dhire"
Bilqees KhanBilqees Khan

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari