"zindagi kaa kis liye maatam rahe mulk bastaa hai miTe yaa ham rahe dil rahe piiri mein bhi teraa javaan aakhiri dam tak yahi dam-kham rahe chaahiye insaan kaa dil ho ghani paas maal o zar bahut yaa kam rahe kyaa isi jannat ki ye tahris hai jis mein kuchh din hazrat-e-aadam rahe vasl se matlab na rakh tu ishq kaa dam bhare jaa dam mein jab tak dam rahe laag ik din ban ke rahti hai lagaav haan lagaavaT kuchh na kuchh baaham rahe ishq ne jis dil pe qabza kar liyaa phir kahaan us mein nashaat o gham rahe sharq se jab nuur chamkaa to kahaan barg-e-gul par qatra-e-shabnam rahe husn ki duniyaa kaa hai daaem shabaab hashr tak us kaa yahi aalam rahe hai surur-e-husn 'kaifi' laa-yazaal dar-khur-e-zarf us mein besh o kam rahe"
ulfat ke imtihaan mein aghyaar fail nikle — Dattatriya Kaifi
"ulfat ke imtihaan mein aghyaar fail nikle the paas ek ham hi jo jaan pe khel nikle tegh-o-sinaan ko rakh do aankhein laDaao ham se achchhi hai vo laDaai jis mein ki mel nikle dekhaa jo nuur us kaa to khul gai hain aankhein duniyaa-o-din ke jhagDe bachchon kaa khel nikle ummid nekiyon ki rakkho na tum buron se mumkin nahin khali se hargiz jo tel nikle kab kohkan se uTThaa koh-e-giraan se ulfat in sakhtiyon ko 'kaifi' kuchh ham hi jhel nikle"
الفت کے امتحاں میں اغیار فیل نکلے تھے پاس ایک ہم ہی جو جاں پہ کھیل نکلے تیغ و سناں کو رکھ دو آنکھیں لڑاؤ ہم سے اچھی ہے وہ لڑائی جس میں کہ میل نکلے دیکھا جو نور اس کا تو کھل گئی ہیں آنکھیں دنیا و دیں کے جھگڑے بچوں کا کھیل نکلے امید نیکیوں کی رکھو نہ تم بروں سے ممکن نہیں کھلی سے ہرگز جو تیل نکلے کب کوہ کن سے اٹھا کوہ گراں سے الفت ان سختیوں کو کیفیؔ کچھ ہم ہی جھیل نکلے
उल्फ़त के इम्तिहाँ में अग़्यार फ़ेल निकले थे पास एक हम ही जो जाँ पे खेल निकले तेग़-ओ-सिनाँ को रख दो आँखें लड़ाओ हम से अच्छी है वो लड़ाई जिस में कि मेल निकले देखा जो नूर उस का तो खुल गई हैं आँखें दुनिया-ओ-दीं के झगड़े बच्चों का खेल निकले उम्मीद नेकियों की रक्खो न तुम बुरों से मुमकिन नहीं खली से हरगिज़ जो तेल निकले कब कोहकन से उट्ठा कोह-ए-गिराँ से उल्फ़त इन सख़्तियों को 'कैफ़ी' कुछ हम ही झेल निकले

More by Dattatriya Kaifi
View all →"yaa ilaahi mujh ko ye kyaa ho gayaa dosti kaa teri saudaa ho gayaa dosti kyaa ham-sari kaa dhyaan hai qaid se aazaad itnaa ho gayaa kaisi aazaadi asiri chiiz kyaa jab fanaa rang-e-tamannaa ho gayaa jab tamannaa aur Dar jaataa rahaa to har ik shai se mubarraa ho gayaa yuun mubarraa ho gai jab koi zaat band phir naghma sifat kaa ho gayaa jab huaa ausaaf se koi bari aib kyunkar us mein paidaa ho gayaa khud-parasti is ko yaa jo kuchh kaho ab to ye aalam hamaaraa ho gayaa be-khudi ne mahv-e-hairat kar diyaa aap mein apnaa tamaashaa ho gayaa jis ko dekhaa aap hi aayaa nazar rang ab 'kaifi' ye apnaa ho gayaa"
"husn ki ranginiyaan kyaa jalva-saamaan ho gaiin dil ki aankhein sar-ba-sar aiman-ba-daamaan ho gaiin tur-saamaani 'ayaan fitrat ki har zarre se hai teri aankhein dekh kar har gul ko hairaan ho gaiin jalva be-parda thaa fart-e-shauq ne Daali naqaab ye nigaahein muztarib ho kar pareshaan ho gaiin jin umidon se banaa thaa khaana-e-dil rashk-e-gul ab vahi is ghar ki barbaadi kaa saamaan ho gai"
"kyuun kar chubhe na aankh mein gul khaar ki tarah bhaai hai dil ko ek trahdaar ki tarah haalat talaash-e-yaar mein ye ho gai miri jaataa huun baiTh baiTh dil-e-zaar ki tarah kyaa dil mein khaar rashk-e-rukh-e-yaar kaa chubhaa bigDi hui hai kyuun gul-e-gulzaar ki tarah hai kuchh na kuchh vahaan bhi asar dard-e-ishq kaa aankh un ki bhi hai is dil-e-bimaar ki tarah ai kaash mere taar-e-rag-e-jaan ko toD de qaatil ki tegh yaar ke iqraar ki tarah 'kaifi' biThaaein aankhon pe kyuun aap ko na log chubhti hui hai aap ke ashaar ki tarah"
"yuun sisaktaa mujhe tum chhoD na jaao aao aakhiri vaqt hai ai jaan-e-man aao aao sohbat-e-lutf mein lo naam na ghairon kaa kabhi dil mein aashiq ke na tum aag lagaao aao be-bane hi bahuton ko hai bigaaDaa is ne apni kaakul ko bahut ab na banaao aao pi bhi lo rahne do kausar ki kahaani zaahid aisi be-par ki na yaaron se uDaao aao 'kaifi' chhoDo bhi kahin ku-e-butaan ki ye dhun chain aaraam dil-o-din na ganvaao aao"
"ishq hi ishq ho aashiq ho na maashuq jahaan aisi ik dargah-e-tauhid-maaab aur bhi hai hosh se kaaT ye din zinda-dili se rakh kaam sheb ke baad miri jaan-e-shabaab aur bhi hai yaar mai-khaane agar kar gae khaali gham kyaa ab bhi abr aataa hai aur khum mein sharaab aur bhi hai ghar kiyaa 'ghaalib'-o-'momin' ne jahaan aankhon mein isi basti mein koi khaana-kharaab aur bhi hai"