SHAWORDS

vaise to insaan khudaa kaa khaas khalifa bantaa hai — Iftikhar Haidar

"vaise to insaan khudaa kaa khaas khalifa bantaa hai lekin jo haalaat hain is ke un par ronaa bantaa hai ham bhi tere saath khaDe hain sabz ruton ke manzar mein phuul aur kaanTe saath rahein to phir baaghicha bantaa hai kitni tahzibein miTti hain phir banti hai ik tahzib kitni naslon ki mehnat se ek ravayya bantaa hai main kahtaa huun qarya qarya DhunD ke miltaa hai ik shakhs main kahtaa huun dariyaa dariyaa mil kar qatra bantaa hai saaya kyaa ham-zaad bhi aise vaqt mein saath nahin detaa chhoD ke jaane vaale teraa chhoD ke jaanaa bantaa hai har mauqa par piiTh ke pichhe khanjar ghonpne vaalaa shakhs saamne jab aa jaataa hai to kitnaa achchhaa bantaa hai felun felun karne se ashaar nahin bante hain dost dhaaro dhaar lahu girtaa hai misraa misraa bantaa hai"
Urdu

ویسے تو انسان خدا کا خاص خلیفہ بنتا ہے لیکن جو حالات ہیں اس کے ان پر رونا بنتا ہے ہم بھی تیرے ساتھ کھڑے ہیں سبز رتوں کے منظر میں پھول اور کانٹے ساتھ رہیں تو پھر باغیچہ بنتا ہے کتنی تہذیبیں مٹتی ہیں پھر بنتی ہے اک تہذیب کتنی نسلوں کی محنت سے ایک رویہ بنتا ہے میں کہتا ہوں قریہ قریہ ڈھونڈ کے ملتا ہے اک شخص میں کہتا ہوں دریا دریا مل کر قطرہ بنتا ہے سایہ کیا ہم زاد بھی ایسے وقت میں ساتھ نہیں دیتا چھوڑ کے جانے والے تیرا چھوڑ کے جانا بنتا ہے ہر موقع پر پیٹھ کے پیچھے خنجر گھونپنے والا شخص سامنے جب آ جاتا ہے تو کتنا اچھا بنتا ہے فعلن فعلن کرنے سے اشعار نہیں بنتے ہیں دوست دھارو دھار لہو گرتا ہے مصرع مصرع بنتا ہے

Hindi

वैसे तो इंसान ख़ुदा का ख़ास ख़लीफ़ा बनता है लेकिन जो हालात हैं इस के उन पर रोना बनता है हम भी तेरे साथ खड़े हैं सब्ज़ रुतों के मंज़र में फूल और काँटे साथ रहें तो फिर बाग़ीचा बनता है कितनी तहज़ीबें मिटती हैं फिर बनती है इक तहज़ीब कितनी नस्लों की मेहनत से एक रवय्या बनता है मैं कहता हूँ क़र्या क़र्या ढूँड के मिलता है इक शख़्स मैं कहता हूँ दरिया दरिया मिल कर क़तरा बनता है साया क्या हम-ज़ाद भी ऐसे वक़्त में साथ नहीं देता छोड़ के जाने वाले तेरा छोड़ के जाना बनता है हर मौक़ा पर पीठ के पीछे ख़ंजर घोंपने वाला शख़्स सामने जब आ जाता है तो कितना अच्छा बनता है फ़ेलुन फ़ेलुन करने से अशआर नहीं बनते हैं दोस्त धारो धार लहू गिरता है मिसरा मिसरा बनता है

vaise to insān ḳhudā kā ḳhaas ḳhalīfa bantā hai
Iftikhar Haidar
Iftikhar Haidar
Iftikhar Haidar
poet38 quotes

More by Iftikhar Haidar

View all →
Quote
"aarzuein na chhin khvaab na chhin meraa saamaan-e-iztiraab na chhin sar se ummid kaa sahaab na chhin main ki sahraa mein huun saraab na chhin hijr bechaini bebasi girya ye mohabbat kaa hai nisaab na chhin zakhm-e-dil ki na chaarasaazi kar mere siine kaa maahtaab na chhin taakne de hasin chehron ko yaar mujh se miraa shabaab na chhin khatm hone na de siyaahi-e-gham mere lafzon ki aab-o-taab na chhin dard maaron ke dard likhne de hai yahi ik rah-e-savaab na chhin khojnaa hai mujhe khudaa kaa suraagh vaaizaa haath se kitaab na chhin"
Iftikhar HaidarIftikhar Haidar
Quote
"vahshat firaaq khauf tiraa dhyaan al-amaan kitni balaaein hain miri mehmaan al-amaan aankhon ko khira kar gayaa ik jalva-e-sharir aur dil ko khaa gai tiri muskaan al-amaan ik silsila juDaa thaa ki phir aankh khul gai kis darja ho gayaa miraa nuqsaan al-amaan ai husn-e-dil-fareb zaraa der ko fareb karne lagaa hai hijr pareshaan al-amaan ai ish-e-mehrbaan koi dam koi darud miltaa nahin koi bhi nigahbaan al-amaan aise nikalnaa hai tiri bazm-e-jamaal se jaise kisi badan se koi jaan al-amaan"
Iftikhar HaidarIftikhar Haidar
Quote
"koi an-honaa vaaqia nahin hai ishq mere liye nayaa nahin hai tujh ko har baat kaa pata nahin hai tu miraa ishq hai khudaa nahin hai yuun nishaane na taak taak ke maar ek hi dil hai dusraa nahin hai ye jo ham roz lafz bunte hain masala hai ye mashghala nahin hai toDtaa hai hudun-e-kaun-o-makaan dard kaa koi daaera nahin hai do kinaare hain ek main ik tu aur kinaaron mein faasla nahin hai koi izhaar ki sabil nahin aag hi aag hai havaa nahin hai ye jo tum maut se Daraate ho zindagi sab kaa masala nahin hai"
Iftikhar HaidarIftikhar Haidar
Quote
"vahshat hai be-zaari hai shaam bhi kitni bhaari hai baahar ik sannaaTaa hai andar aah-o-zaari hai likh detaa huun haal-e-dil kahne mein dushvaari hai dard musibat bechaini apni sab se yaari hai siina chartaa jaataa hai khvaahish hai yaa aari hai mere dil ke kamre mein yaadon ki almaari hai prem nagar kaa har banda jazbon kaa byopaari hai aap mohabbat kahte hain dhoka hai makkaari hai soz hai mere lafzon mein lahje mein sarshaari hai sher nahin likhtaa saahab paiham ashk-shumaari hai"
Iftikhar HaidarIftikhar Haidar