SHAWORDS

vo ik pal jab main ne tujh ko dekhaa thaa — Amir Hamza Saqib

"vo ik pal jab main ne tujh ko dekhaa thaa naam apnaa aap apne hi se puchhaa thaa mere raagon ki bandish be-masraf thi is mein to naghmon kaa jharnaa bahtaa thaa aadhi-adhuri naaqis naa-kaafi har shai ek khalaa hi mere andar puuraa thaa main ne us ki saanson ke aaine mein ik abadi aavaaz kaa chehra dekhaa thaa takte takte meri aankhein khvaab huiin kho baiThungaa tujh ko ik andesha thaa kyaa us parda-daar ke yuun khul jaane mein ik pechida ramz koi poshida thaa"
Urdu

وہ اک پل جب میں نے تجھ کو دیکھا تھا نام اپنا آپ اپنے ہی سے پوچھا تھا میرے راگوں کی بندش بے مصرف تھی اس میں تو نغموں کا جھرنا بہتا تھا آدھی ادھوری ناقص نا کافی ہر شے ایک خلا ہی میرے اندر پورا تھا میں نے اس کی سانسوں کے آئینے میں اک ابدی آواز کا چہرہ دیکھا تھا تکتے تکتے میری آنکھیں خواب ہوئیں کھو بیٹھوں گا تجھ کو اک اندیشہ تھا کیا اس پردہ دار کے یوں کھل جانے میں اک پیچیدہ رمز کوئی پوشیدہ تھا

Hindi

वो इक पल जब मैं ने तुझ को देखा था नाम अपना आप अपने ही से पूछा था मेरे रागों की बंदिश बे-मसरफ़ थी इस में तो नग़्मों का झरना बहता था आधी-अधूरी नाक़िस ना-काफ़ी हर शय एक ख़ला ही मेरे अन्दर पूरा था मैं ने उस की साँसों के आईने में इक अबदी आवाज़ का चेहरा देखा था तकते तकते मेरी आँखें ख़्वाब हुईं खो बैठूँगा तुझ को इक अंदेशा था क्या उस पर्दा-दार के यूँ खुल जाने में इक पेचीदा रम्ज़ कोई पोशीदा था

vo ik pal jab maiñ ne tujh ko dekhā thā
Amir Hamza Saqib
Amir Hamza Saqib
Amir Hamza Saqib
poet106 quotes

More by Amir Hamza Saqib

View all →
Quote
"pahra paani pe hai aur ju-e-sitam jaari hai zakhm-khurda hain magar jang kahaan haari hai mujh se puchhaa na karo shaghl-e-junun ki baabat tum se fursat hai miri jaan so bekaari hai tu idhar kaise nikal aai hai duniyaa-daari jazba-e-shauq ki is samt 'amal-daari hai gardish-e-shaam-o-sahar se bhi koi farq paDaa daaera-vaar mujhe teri hi didaari hai lazzatein zahr-bujhaa tiir hui jaati hain kyaa miri ruh-e-badan jism se inkaari hai aarzu hoti hai rukhsat kisi dulhan ki tarah jashn-e-shaadi bhi 'ajab rasm-e-‘azaa-daari hai"
Amir Hamza SaqibAmir Hamza Saqib
Quote
"dilon ki tarh ragon mein lahu dhaDaktaa hai ki aabla hai mohabbat kaa jo tapaktaa hai rahe kahin bhi kahin duur mujh se tu chhup jaae mire khayaalon mein chehra tiraa damaktaa hai ye jism-o-ruh ki gahraaiyon mein utregaa ye dard vo nahin aankhon se jo chhalaktaa hai gunaahgaar na ban dil mire khudaa ke liye khayaal-e-yaar kaa daaman koi jhaTaktaa hai siyaah ho gae sab sabz-o-tar mire din raat vo chaand chhat pe kisi aur ki chamaktaa hai tumhaaraa lutf-o-karam ham faqir logon par kisi gharib ki chhat ki tarah Tapaktaa hai"
Amir Hamza SaqibAmir Hamza Saqib
Quote
"badan ke daf par lahu bahaa le de raft raftan thirak rahaa hai ye kaun naddaaf andar andar tamaam ruui dhunak rahaa hai ham apne ruyaa-e-'ishq saare jalaa ke khaashaak kar to deinge magar vo ik khvaab jo musalsal hamaari aankhon ko tak rahaa hai farishte ujle paron se sar-sabz fasl-e-rahmat bikherte hain gharib dahqaan hikaayaton se zamin ke daaghon ko Dhak rahaa hai main apni tanhaaiyon ke raagon mein apni vahshat ko Dhaaltaa huun ye meri saanson ke zer-o-bam mein tumhaaraa dil kyon dhaDak rahaa hai azal abad hast-o-bud main tu sab ik ikaai mein Dhal rahe hain nazar pe thaa manzaron kaa parda so ab ye parda sarak rahaa hai"
Amir Hamza SaqibAmir Hamza Saqib
Quote
"barpaa kisi din mahfil-e-tanhaai kareinge aao to shab-e-hijr ki bharpaai kareinge ham vo tire hushyaar ki aap apne hi haathon apni hi gali apni hi rusvaai kareinge kyon she'r sunaane pe miri jaan musir ho ham log to zakhmon ki paziraai kareinge paani pe chaleinge kabhi taireinge fazaa mein mumkin nahin jo kuchh tire saudaai kareinge neza liye nikle hain to kyon khauf-zada ho sarkaar ba-har-haal masihaai kareinge roeinge hamein shahr ke hangaame divaano jangal mein agar anjuman-aaraai kareinge aa jaao ki sinon ke diye bujhne lage hain aa jaao kahaan tak nafas-aaraai kareinge"
Amir Hamza SaqibAmir Hamza Saqib