Quote
"dhuup thi saaebaan thaa hi nahin meraa koi makaan thaa hi nahin main jahaan jaa ke lauT aayaa huun us ke aage jahaan thaa hi nahin tum mujhe chhoD bhi to sakte ho ye to mujh ko gumaan thaa hi nahin aap roe the kyon bichhaDte hue kuchh agar darmiyaan thaa hi nahin kaise mushkil kaa saamnaa karte hausla jab chaTaan thaa hi nahin vaqt itnaa buraa bhi aaegaa ye kisi ko gumaan thaa hi nahin haal-e-dil kis ke saamne rakhte jab koi mehrbaan thaa hi nahin is zamaane ne kar diyaa patthar varna main sakht-jaan thaa hi nahin us pe sab kuchh luTaa diyaa 'aaqib' jo miraa qadr-daan thaa hi nahin"
A
Aaquib Shaad