"dhuup thi saaebaan thaa hi nahin meraa koi makaan thaa hi nahin main jahaan jaa ke lauT aayaa huun us ke aage jahaan thaa hi nahin tum mujhe chhoD bhi to sakte ho ye to mujh ko gumaan thaa hi nahin aap roe the kyon bichhaDte hue kuchh agar darmiyaan thaa hi nahin kaise mushkil kaa saamnaa karte hausla jab chaTaan thaa hi nahin vaqt itnaa buraa bhi aaegaa ye kisi ko gumaan thaa hi nahin haal-e-dil kis ke saamne rakhte jab koi mehrbaan thaa hi nahin is zamaane ne kar diyaa patthar varna main sakht-jaan thaa hi nahin us pe sab kuchh luTaa diyaa 'aaqib' jo miraa qadr-daan thaa hi nahin"
Dubo ke mulk se tere hisaab kaa suraj — Aaquib Shaad
"Dubo ke mulk se tere hisaab kaa suraj nikaalnaa hai hamein inqalaab kaa suraj kisi bhi shakhs ko laate nahin vo nazron mein bulandiyon pe abhi hai janaab kaa suraj miTaa ke zulm ki rakh degaa ye tamaazat ko nikal rahaa hai nai aab-o-taab kaa suraj hai nuur chhaayaa huaa har taraf zamaane mein chamak rahaa hai kisi ke shabaab kaa suraj agar gharib kaa bebas kaa dil dukhaaegaa jalaa ke chhoDegaa tujh ko azaab kaa suraj jabin pe aap ki sajdon ke gar nishaan honge lahad ko rakkhegaa raushan savaab kaa suraj khudaa ki zaat se ummid hai ye 'shaad' hamein ugegaa ek din apne hisaab kaa suraj"
ڈبو کے ملک سے تیرے حساب کا سورج نکالنا ہے ہمیں انقلاب کا سورج کسی بھی شخص کو لاتے نہیں وہ نظروں میں بلندیوں پہ ابھی ہے جناب کا سورج مٹا کے ظلم کی رکھ دے گا یہ تمازت کو نکل رہا ہے نئی آب و تاب کا سورج ہے نور چھایا ہوا ہر طرف زمانے میں چمک رہا ہے کسی کے شباب کا سورج اگر غریب کا بے بس کا دل دکھائے گا جلا کے چھوڑے گا تجھ کو عذاب کا سورج جبیں پہ آپ کی سجدوں کے گر نشاں ہوں گے لحد کو رکھے گا روشن ثواب کا سورج خدا کی ذات سے امید ہے یہ شادؔ ہمیں اگے گا ایک دن اپنے حساب کا سورج
डुबो के मुल्क से तेरे हिसाब का सूरज निकालना है हमें इंक़लाब का सूरज किसी भी शख़्स को लाते नहीं वो नज़रों में बुलंदियों पे अभी है जनाब का सूरज मिटा के ज़ुल्म की रख देगा ये तमाज़त को निकल रहा है नई आब-ओ-ताब का सूरज है नूर छाया हुआ हर तरफ़ ज़माने में चमक रहा है किसी के शबाब का सूरज अगर ग़रीब का बेबस का दिल दुखाएगा जला के छोड़ेगा तुझ को अज़ाब का सूरज जबीं पे आप की सज्दों के गर निशाँ होंगे लहद को रक्खेगा रौशन सवाब का सूरज ख़ुदा की ज़ात से उम्मीद है ये 'शाद' हमें उगेगा एक दिन अपने हिसाब का सूरज
More by Aaquib Shaad
View all →"vo khvaabon mein to aanaa chaahtaa hai magar nindein uDaanaa chaahtaa hai jise main ne bachaayaa zulmaton se diyaa meraa bujhaanaa chaahtaa hai use kahnaa tumhaaraa haal sun kar koi aansu bahaanaa chaahtaa hai labon se kuchh bhi kahtaa hi nahin hai vo aankhon se jataanaa chaahtaa hai vo daave achchhe din ke karke 'aaqib' hamein paagal banaanaa chaahtaa hai"
"ham jo guzre hue lamhon ki taraf dekhte hain aisaa lagtaa hai ki sadiyon ki taraf dekhte hain jin ko maalum hai nindon ke ujaDne kaa azaab jaagti aankh se khvaabon ki taraf dekhte hain yaad aataa hai hamein aap kaa chehra aksar ham agar chaand-sitaaron ki taraf dekhte hain muntazir honge kai din se kisi ke shaayad log hasrat se jo raston ki taraf dekhte hain us ki ik baar nazar paDne pe maghrur na ban log baazaar mein kitnon ki taraf dekhte hain aisi tartib se zakhmon ko siyaa hai main ne chaaraagar ghaur se Taankon ki taraf dekhte hain"
"meri khvaahish qubul kar liije ishq karne ki bhuul kar liije bakhsh diije mujhe sabhi kaanTe apne daaman mein phuul kar liije aaine ko na dijiye tohmat saaf chehre ki dhuul kar liije aap ko koi kyaa haraaegaa apne pukhta usuul kar liije dil ko laazim qaraar aaegaa aap zikr-e-rasul kar liije"
"bataaun kyaa kisi se dil mein kyaa kyaa TuuT jaataa hai ki jab muflis ke bachche kaa khilaunaa TuuT jaataa hai ye meri bad-nasibi hai bataaun kis tarah tum ko vo jab sapne mein aate hain to sapnaa TuuT jaataa hai bahut hi muztarib rahtaa hai vo har pal zamaane mein ki jis insaan kaa ulfat se bharosa TuuT jaataa hai lagaae laakh chehre par koi chehra magar sun le bahut din tak nahin rahtaa mukhauTaa TuuT jaataa hai zamin aavaaz deti hai mohabbat se mujhe 'aaqib' to meraa chaand chhune kaa iraada TuuT jaataa hai"
More on Dil
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"