"ye baat alag hai na ho izhaar-e-tamannaa insaan hai bahar-haal giraftaar-e-tamanna har chiiz yahaan bikti hai jo chaaho kharido vallaah bahut khuub hai baazaar-e-tamannaa maTkaa hai udhar mai kaa nashe kaa hai tasallut laTkaa hai idhar koi sar-e-daar-e-tamanna mahrumi-e-qismat ki sazaa kaaT rahaa huun iqraar hai mujh ko huun gunahgaar-e-tamannaa maghrur hasina si hain takmil ki raahein laazim hai bahut unchaa ho me’aar-e-tamannaa hushiyaar zaraa aage havas kaa hai 'ilaaqa behtar hai yahin rok lo raftaar-e-tamanna"
ye kis ne kah diyaa mujhe rahbar pasand hai — Nasim Zahid
"ye kis ne kah diyaa mujhe rahbar pasand hai main khuub jaantaa huun ki vo shar-pasand hai pencil hai mere haath mein kaaghaz hai saamne bas ye bataa de kaun saa manzar pasand hai saahil pe us ke pyaar ne bangla diyaa use us ne kahaa thaa mujh ko samundar pasand hai ye hai hayaa kaa haal ki maghrur hai zavaal ab kyaa savaal kaun saa zevar pasand hai pukhta makaan vaalon ko barsaat hai pasand barsaat ko magar miraa chhappar pasand hai 'zaahid' ne mujh se puchhaa tujhe kaun hai pasand main ne kahaa ki achchhaa sukhanvar pasand hai"
یہ کس نے کہہ دیا مجھے رہبر پسند ہے میں خوب جانتا ہوں کہ وہ شر پسند ہے پنسل ہے میرے ہاتھ میں کاغذ ہے سامنے بس یہ بتا دے کون سا منظر پسند ہے ساحل پہ اس کے پیار نے بنگلہ دیا اسے اس نے کہا تھا مجھ کو سمندر پسند ہے یہ ہے حیا کا حال کہ مغرور ہے زوال اب کیا سوال کون سا زیور پسند ہے پختہ مکان والوں کو برسات ہے پسند برسات کو مگر مرا چھپر پسند ہے زاہدؔ نے مجھ سے پوچھا تجھے کون ہے پسند میں نے کہا کہ اچھا سخنور پسند ہے
ये किस ने कह दिया मुझे रहबर पसंद है मैं ख़ूब जानता हूँ कि वो शर-पसंद है पेंसिल है मेरे हाथ में काग़ज़ है सामने बस ये बता दे कौन सा मंज़र पसंद है साहिल पे उस के प्यार ने बंगला दिया उसे उस ने कहा था मुझ को समुंदर पसंद है ये है हया का हाल कि मग़रूर है ज़वाल अब क्या सवाल कौन सा ज़ेवर पसंद है पुख़्ता मकान वालों को बरसात है पसंद बरसात को मगर मिरा छप्पर पसंद है 'ज़ाहिद' ने मुझ से पूछा तुझे कौन है पसंद मैं ने कहा कि अच्छा सुख़नवर पसंद है

More by Nasim Zahid
View all →"jo de e'zaaz kaj-adaai par laa’ntein aisi rahnumaai par shaakh se TuuT ke giraa ik phuul she'r main ne kahaa judaai par ye miraa khvaab hai jamaal-afroz yaa sitaara hai chaarpaai par maslahat kaa asiir hai ye diyaa kaise bhaDke diyaa-salaai par tohmat-e-kufr ho gai qurbaan aaj imaan ki safaai par zindagi ki kitaab mushkil hai Thiik se dhyaan dein paDhaai par"
"jivan ho ji pe baar to hairat ki baat hai daarul-amaan ho daar to hairat ki baat hai fasl-e-khizaan chubhe to koi masala nahin chubhne lage bahaar to hairat ki baat hai Thukraa ke jo fasil-e-mohabbat se uD gayaa hai us kaa intizaar to hairat ki baat hai khaani thi main ne khaai hai allaah ki qasam aae na e'tibaar to hairat ki baat hai nafrat ke saath kijiye ab aatishin suluk yuun jal rahaa hai pyaar to hairat ki baat hai 'zaahid' anaa ki raah mein khaa khaa ke Thokarein utraa nahin khumaar to hairat ki baat hai"
"ai falak mujh ko mukarnaa hai mukar jaataa huun ab zamin ko miri haajat hai utar jaataa huun rokne vaale mujhe rok nahin paate hain main to dariyaa huun bahar-haal guzar jaataa huun mujh se kahne lagaa ilzaam mujassam ho kar main to aksar kisi maa'sum ke sar jaataa huun dhuup ne zarb lagaai hai mujhe aisi ki main chhaanv se aankh milaate hue mar jaataa huun ai ghazal hurmat-e-dastaar pe harf aaegaa main agar sar-phire zardaar ke ghar jaataa huun main to sonaa huun nahin is mein koi shak lekin hijr mein dhuul ki maanind bikhar jaataa huun is-qadar nur-e-mohabbat hai miri aankhon mein mujh ko bas tu nazar aataa hai jidhar jaataa huun sirf hikmat ke sabab hotaa hai aisaa 'zaahid' kaun kahtaa hai ki main Dar ke Thahar jaataa huun"
"hai khel ki taqdir kaa in'aam mire naam bheje hai koi naama-e-be-naam mire naam mere liye kuchh karne kaa armaan hai to ik din kuchh diip jalaa denaa sar-e-shaam mire naam thi raah-e-masihaai mein e'zaaz ki ummid aayaa hai magar qatl kaa ilzaam mire naam insaaf ke maikhaane mein ham donon hain yaksaan ik jaam tire naam to ik jaam mire naam har shakhs ko ye khvaahish-e-naakaam hai 'zaahid' jivan mein ho aaraam hi aaraam mire naam"
"kisi ke husn ki jalvagari ne mujh ko luuTaa hai zamin ke chaand ki rakhshandagi ne mujh ko luuTaa hai kabhi main naam le ke us ko rusvaa kar nahin saktaa samajh lo ye ki zinda shaa'iri ne mujh ko luuTaa hai main us ko jism pahnaaun to hogi vo sitamgar si safar mein ziist ke jis aagahi ne mujh ko luuTaa hai na koi ham-safar meraa na koi raahbar meraa baDe aaraam se aavaargi ne mujh ko luuTaa hai bhaTaktaa phir rahaa huun main tamannaaon ki duniyaa mein ghazab hai har qadam par zindagi ne mujh ko luuTaa hai udhar tum ho ki subh-e-karr-o-far hai mehrbaan tum par idhar main huun ki shaam-e-bekasi ne mujh ko luuTaa hai ai charkh-e-nilgun sach-much koi hairat nahin mujh ko farishta ban ke jo ik aadmi ne mujh ko luuTaa hai sitaaro mujh se us kaa tazkira kyon karte rahte ho tumhein maa'lum hai jab chaandni ne mujh ko luuTaa hai lab-e-izhaar vaa kar ke paDaa hai koi zindaan mein mujhe dekho ki jabr-e-khaamushi ne mujh ko luuTaa hai kisi ke gham pe ik din muskuraayaa thaa haqaarat se kahun kyaa kis tarah meri khushi ne mujh ko luuTaa hai main ik maghrur dariyaa thaa chalo achchhaa huaa 'zaahid' baDi shaaistagi se ik nadi ne mujh ko luuTaa hai"