SHAWORDS

ye sochte hue baazaar se nikal aayaa — Mazhar Husain Syed

"ye sochte hue baazaar se nikal aayaa na jaane aadmi kyuun ghaar se nikal aayaa khabar nahin hai ki phir baadshaah pe kyaa guzri ghazal sunaa ke main darbaar se nikal aayaa sabhi khaDe the khulegaa abhi dar-e-zindaan main jald-baazi mein divaar se nikal aayaa khabar ghalat hai main ye baat kahne vaalaa thaa ki ik revolver akhbaar se nikal aayaa sukhan ko naara qalam ko alam banaate hue sukut-e-hujra-e-fankaar se nikal aayaa ajab nahin hai ki baazaar ko bahaa le jaae jo ashk chashm-e-kharidaar se nikal aayaa"
Urdu

یہ سوچتے ہوئے بازار سے نکل آیا نہ جانے آدمی کیوں غار سے نکل آیا خبر نہیں ہے کہ پھر بادشاہ پہ کیا گزری غزل سنا کے میں دربار سے نکل آیا سبھی کھڑے تھے کھلے گا ابھی در زنداں میں جلد بازی میں دیوار سے نکل آیا خبر غلط ہے میں یہ بات کہنے والا تھا کہ اک ریوالور اخبار سے نکل آیا سخن کو نعرہ قلم کو علم بناتے ہوئے سکوت حجرۂ فن کار سے نکل آیا عجب نہیں ہے کہ بازار کو بہا لے جائے جو اشک چشم خریدار سے نکل آیا

Hindi

ये सोचते हुए बाज़ार से निकल आया न जाने आदमी क्यूँ ग़ार से निकल आया ख़बर नहीं है कि फिर बादशाह पे क्या गुज़री ग़ज़ल सुना के मैं दरबार से निकल आया सभी खड़े थे खुलेगा अभी दर-ए-ज़िंदाँ मैं जल्द-बाज़ी में दीवार से निकल आया ख़बर ग़लत है मैं ये बात कहने वाला था कि इक रिवाल्वर अख़बार से निकल आया सुख़न को ना'रा क़लम को अलम बनाते हुए सुकूत-ए-हुजरा-ए-फ़नकार से निकल आया अजब नहीं है कि बाज़ार को बहा ले जाए जो अश्क चश्म-ए-ख़रीदार से निकल आया

ye sochte hue bāzār se nikal aayā
Mazhar Husain Syed
Mazhar Husain Syed
Mazhar Husain Syed
poet30 quotes

More by Mazhar Husain Syed

View all →
Quote
"kisi ko jang mein yuun bhi haraanaa paDtaa hai ki khud hi tiir pe jaa kar nishaana paDtaa hai tumhein to shahr mein bas aanaa-jaanaa paDtaa hai hamein ye ranj musalsal uThaanaa paDtaa hai sukhan-saraai faqat shaghl-e-vaah-vaah nahin hamein to Tuut ke khud ko banaanaa paDtaa hai lahu mein naachti rahti hai mustaqil koi shai aur us kaa saath hamein bhi nibhaanaa paDtaa hai kabhi vo mujh se khayaalon mein ruuTh jaataa hai phir us ko khvaab mein jaa kar manaanaa paDtaa hai chhupaae rakkhoge kab tak dil-o-dimaagh kaa haal mushaaera hai yahaan to sunaanaa paDtaa hai ye 'ahd-e-bad-gumaan qisse kahaaniyon kaa nahin yahaan to mo'jiza kar ke dikhaanaa paDtaa hai kisi muhib andhere ki qabr hai shaayad jahaan charaagh musalsal jalaanaa paDtaa hai paTakh diyaa gayaa laa kar mujhe yahaan 'mazhar' main kyon yahaan huun mujhe khud bataanaa paDtaa hai"
Mazhar Husain SyedMazhar Husain Syed
Quote
"badan gulaab saa mahke to aag lag jaae so tu kahin se bhi guzre to aag lag jaae zamin chup hai magar khaulti hai andar se vo ek lafz bhi bole to aag lag jaae 'ajab mizaaj kaa aatish-parast huun main bhi koi jo aag ko puuje to aag lag jaae main ji rahaa huun faqat us ki be-rukhi ke tufail vo aankh bhar ke jo dekhe to aag lag jaae main aise rukh pe huun suraj ke saamne ki agar zaraa saa zaaviya badle to aag lag jaae hamaare lafz hain maachis ki tiliyaan 'mazhar' koi dimaagh se ragDe to aag lag jaae"
Mazhar Husain SyedMazhar Husain Syed
Quote
"khat-e-shikasta mein kuchh ret par likhaa huaa thaa jo main ne ghaur se dekhaa to ghar likhaa huaa thaa kitaab-e-zist mein likkhaa nahin gayaa miraa naam miTaa diyaa hai kisi ne agar likhaa huaa thaa khabis bheDiye shahron mein dandanaate the aur un ki khaal pe lafz-e-bashar likhaa huaa thaa havaa bhi haar gai thi shajar giraate hue tumhaaraa naam vahaan is qadar likhaa huaa thaa makin khvaab se jaage hi the ki sahm gae har ik makaan ki chaukhaT pe Dar likhaa huaa thaa vo jis ko le ke miri bastiyon pe TuuT paDe kisi kitaab se kuchh DhunD kar likhaa huaa thaa hamaare naam ki takhti pe ek din 'mazhar' hamaaraa naam nahin thaa shajar likhaa huaa thaa"
Mazhar Husain SyedMazhar Husain Syed