Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Abrar Kiratpuri
baam par aaj na mahtaab-e-darakhshaan niklaa
ham rahe diid se mahrum kab armaan niklaa
bazm mein sirf na the ahl-e-nazar hi shashdar
dekh kar un ko to aaina bhi hairaan niklaa
· · ·
Abrar Kiratpuri
ain laazim hai tabaddul kaa numaayaan honaa
aaina dekh rahaa hai miraa hairaan honaa
dekh phir un ke taghaaful ki chali purvaai
ai mire zakhm-e-jigar aur darakhshaan honaa
· · ·
Abrar Kiratpuri
tum jo chaaho hansi-khushi rahnaa
shahr mein apne ajnabi rahnaa
jaane kab us ki yaad aa jaae
zehn ki khiDkiyo khuli rahnaa
· · ·
Abrar Kiratpuri
ba-qadr-e-zarf sab ne apne e'tibaar chun liye
khirad ne phuul le liye junun ne khaar chun liye
huaa madina-e-yaqin us kaa rashk-e-gulsitaan
vo jis ne rif’at-e-yaqin ke regzaar chun liye
· · ·
Abrar Kiratpuri
paas jab vo sitam-ijaad aaya
kuchh bhi us dam na hamein yaad aaya
rukh masarrat kaa na dekhaa ham ne
le ke har pal nai uftaad aaya
· · ·
Abrar Kiratpuri
har ek lafz ko shaffaaf aaina kar duun
main tere husn kaa manzum tarjuma kar duun
zabaan-e-she’r mein tashbih isti’aaron se
ba-har jamaal tujhe ik misaaliya kar duun
· · ·
Abrar Kiratpuri
dil hai adaa-shanaas nazar pairahan-shanaas
kah duun main raaz-e-dil vo agar hon sukhan-shanaas
muzhda hain fasl-e-gul kaa tiri aah-o-zaariyaan
ai taair-e-asir bahaar-e-chaman-shanaas
· · ·
Abrar Kiratpuri
baaghbaan jashn-e-bahaaraan nahin hone dete
diip ulfat ke farozaan nahin hone dete
zahr ulfat kaa pilaate hain baDe fakhr ke saath
aap insaan ko insaan nahin hone dete
· · ·
Abrar Kiratpuri
nai havaa mein koi rang-e-kaaenaat mein gum
huaa hai saaraa zamaana tasannuaat mein gum
gale kaa haar kahin ban na jaae mahrumi
na honaa bhuul ke husn-e-takallufaat mein gum
· · ·
Abrar Kiratpuri
numaayaan jab vo apne zehn ki tasvir kartaa hai
har ik ahl-e-mohabbat ko bahut dil-gir kartaa hai
vo kyuun masrur hotaa hai hamaaraa khuun bahne se
sar-e-haq kis liye zaalim tah-e-shamshir kartaa hai
· · ·
Abrar Kiratpuri
vasvase dil mein na rakh khauf-e-rasan le ke na chal
azm-e-manzil hai to ham-raah thakan le ke na chal
raah-e-manzil mein bahar-haal tabassum farmaa
har qadam dukh sahi maathe pe shikan le ke na chal
· · ·
Abrar Kiratpuri
dil-o-jaan sadqe hote kabhi dil nisaar hotaa
tumhein ham gale lagaate agar ikhtiyaar hotaa
unhein sochtaa main dil se to ghazal ke phuul khilte
jo zabaan pe harf aataa gul-e-mushk-baar hotaa
· · ·
Abrar Kiratpuri
'ataa-e-barq kaa muddat se jo nishaana hai
hai fakhr mujh ko vo meraa hi aashiyaana hai
jo bah rahaa hai gulistaan mein hai lahu meraa
jo jal rahaa hai vo meraa hi aashiyaana hai
· · ·
Abrar Kiratpuri
lailaa nahin to manzar-e-mahmil nahin rahaa
majnun bhi aaj 'ishq ke qaabil nahin rahaa
dil ko kisi ke baandhne qaabil nahin rahaa
dam-kham vo tujh mein kaakul-e-qaatil nahin rahaa
· · ·
Abrar Kiratpuri
us ke hasin rukh pe 'ajab rang-o-nur thaa
kuchh bhi kaho vo saahab-e-imaan zarur thaa
ik mohtaram ne sab ko kiyaa vaaqif-e-hayaat
insaan ko us se pahle na koi shu'ur thaa
· · ·
Abrar Kiratpuri
kahkashaan 'ishq ki hai be-sar-o-paa mere baa'd
baam par chaand munavvar na huaa mere baa'd
kaafir-e-husn musalmaan na huaa mere baa'd
kalima-e-'ishq kisi ne na paDhaa mere baa'd
· · ·
Abrar Kiratpuri
nafsi-nafsi kaa hai 'aalam sab hue naa-aashnaa
mahshar-e-zo'm-e-khirad mein kaun kis kaa aashnaa
main ne bhi baad-e-sabaa ke haath ko bose diye
lams-e-gesu se tire dast-e-sabaa thaa aashnaa
· · ·
Abrar Kiratpuri
vo aadmi jo dard kaa haamil nahin rahaa
kaif-e-gham-e-hayaat use haasil nahin rahaa
pahlaa saa ab vo rang-e-mahaafil nahin rahaa
us shokh kaa koi mutabaadil nahin rahaa
· · ·
Abrar Kiratpuri
khulq se duur rahaa jo vo misaali na huaa
us ko haasil kabhi e'zaaz zaraa bhi na huaa
nai tahzib kaa parvarda nigaar-e-bebaak
baa-hayaaon mein kabhi shaan-e-tajalli na huaa
· · ·
Abrar Kiratpuri
sab hasinon se ghalat-fahmi kaa tufaan niklaa
vo sar-e-bazm-e-nigaaraan jo numaayaan niklaa
mere ash'aar ko me'yaar kaa e'zaaz milaa
jaan-e-jaan meraa sukhan-fahm-o-sukhan-daan niklaa
· · ·







