Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Afzal Khan
nahin thaa dhyaan koi toDte hue cigarette
main tujh ko bhuul gayaa chhoDte hue cigarette
so yuun huaa ki pareshaaniyon mein piine lage
gham-e-hayaat se munh moDte hue cigarette
· · ·
Afzal Khan
tabhi to main mohabbat kaa havaalaati nahin hotaa
yahaan apne sivaa koi mulaaqaati nahin hotaa
giraftaar-e-vafaa rone kaa koi ek mausam rakh
jo naala roz bah nikle vo barsaati nahin hotaa
· · ·
Afzal Khan
mujhe ronaa nahin aavaaz bhi bhaari nahin karni
mohabbat ki kahaani mein adaakaari nahin karni
havaa ke khauf se lipTaa huaa huun khushk Tahni se
kahin jaanaa nahin jaane ki tayyaari nahin karni
· · ·
Afzal Khan
to phir vo ishq ye naqd-o-nazar baraae-farokht
sukhan baraae-hunar hai hunar baraae-farokht
ayaan kiyaa hai tiraa raaz fi-sabilillaah
khabar na thi ki hai ye bhi khabar baraae-farokht
· · ·
Afzal Khan
ek se paDte hain donon maqbaron par phuul bhi
jannat-ul-firdaus mein qaatil bhi hai maqtul bhi
dekh ai duniyaa hamein tartib denaa chhoD de
tu bigaaDegi hamaaraa roz kaa maamul bhi
· · ·
Afzal Khan
raah bholaa huun magar ye miri khaami to nahin
main kahin aur se aayaa huun maqaami to nahin
unchaa lahja hai faqat zor-e-dalaael ke liye
ai miri jaan ye miri talkh-kalaami to nahin
· · ·
Afzal Khan
hamaare khuun ke pyaase pashemaani se mar jaaein
agar ham ek din apni hi naadaani se mar jaaein
aziyyat se janam leti suhulat raas aati hai
koi aisi paDe mushkil ki aasaani se mar jaaein
· · ·
Afzal Khan
aadmi khvaar bhi hotaa hai nahin bhi hotaa
ishq aazaar bhi hotaa hai nahin bhi hotaa
ye jo kuchh log khayaalon mein rahaa karte hain
un kaa ghar-baar bhi hotaa hai nahin bhi hotaa
· · ·
Afzal Khan
shikast-e-zindagi vaise bhi maut hi hai naa
to sach bataa ye mulaaqaat aakhiri hai naa
kahaa nahin thaa miraa jism aur bhar yaarab
so ab ye khaak tire paas bach gai hai naa
· · ·
Afzal Khan
aaj hi fursat se kal kaa masala chheDungaa main
masala hal ho to hal kaa masala chheDungaa main
vasl o hijraan mein tanaasub raast honaa chaahiye
ishq ke radd-e-amal kaa masala chheDungaa main
· · ·
Afzal Khan
jab ik saraab mein pyaason ko pyaas utaarti hai
mire yaqin ko qarin-e-qayaas utaarti hai
hamaare shahr ki ye vahshiyaana aab-o-havaa
har ek ruuh mein jangal ki baas utaarti hai
· · ·
Afzal Khan
kal apne shahr ki bas mein savaar hote hue
vo dekhtaa thaa mujhe ashk-baar hote hue
parinde aae to gumbad pe baiTh jaaeinge
nahin shajar ki zarurat mazaar hote hue
· · ·
Afzal Khan
us lamhe tishna-lab ret bhi paani hoti hai
aandhi chale to sahraa mein tughyaani hoti hai
nasr mein jo kuchh kah nahin saktaa sher mein kahtaa huun
is mushkil mein bhi mujh ko aasaani hoti hai
· · ·







