Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Ain Naqvi
baa-khudaa aap bhi nahin hain ji
paarsaa aap bhi nahin hain ji
ek hi baar hain agar ham to
baarhaa aap bhi nahin hain ji
· · ·
Ain Naqvi
mire jaisi tumhein milni nahin hai
magar koi zabardasti nahin hai
ye dil hai aap kaa office nahin ji
yahaan par aap ki chalti nahin hai
· · ·
Ain Naqvi
main bahut khush huun sab ko lagtaa hai
kis safaai se jhuuT bolaa hai
saare tufaan tham gae yak-dam
us ne itnaa kahaa vo meraa hai
· · ·
Ain Naqvi
masihaa apni koshish kar chuke hain
magar jis ko davaa se masale hain
tumhaaraa jhuuT duniyaa ghuum aayaa
mire sach ke abhi tasme khule hain
· · ·
Ain Naqvi
kyaa kyaa inbox mein ugalte hain
ye jo ban kar sharif baiThe hain
aap mauqa-parast naiin hain so
aap ko ek mauqa dete hain
· · ·
Ain Naqvi
raushni le ke tirgi DhunDi
tujh ko paa kar tiri kami DhunDi
un hasinon se pher kar aankhein
tu ne kyuun mujh si sar-phiri DhunDi
· · ·
Ain Naqvi
yaad aataa rahe to achchhaa hai
zakhm taaza rahe to achchhaa hai
ek dhokaa hai donon jaanib se
par ye chaltaa rahe to achchhaa hai
· · ·
Ain Naqvi
sitaara aazmaayaa jaa rahaa hai
ghalat number milaayaa jaa rahaa hai
tah-e-khanjar mujhe paani pilaa kar
baDaa ehsaan jataayaa jaa rahaa hai
· · ·







