Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Anwar Nizami Jabalpuri
yuun to har gaam pe Thokar koi khaa jaataa huun
phir bhi ye azm miraa hai ki chalaa jaataa huun
baarhaa aise savaalaat ne taDpaayaa hai
main bhi kyaa un ke khayaalaat pe chhaa jaataa huun
· · ·
Anwar Nizami Jabalpuri
alam aah-o-fughaan aansu gile bechaargi le kar
tumhaare paas aaya huun main apni zindagi le kar
chaman se ek kaanTaa aur ik naazuk kali le kar
taqaabul kar rahaa huun zindagi se zindagi le kar
· · ·
Anwar Nizami Jabalpuri
ishq mein itnaa asar ho ye zaruri to nahin
un ko ab meri khabar ho ye zaruri to nahin
gaamzan huun main jahaan josh-e-junun mein ai dost
vo tiri raahguzar ho ye zaruri to nahin
· · ·
Anwar Nizami Jabalpuri
na apni kahnaa na meri sunnaa koi sunegaa to kyaa kahegaa
akele ronaa akele hansnaa koi sunegaa to kyaa kahegaa
Dhalak ke qadmon pe aa ke girnaa ye haalat-e-be-khudi mein aanchal
khayaal itnaa bhi ab na rakhnaa koi sunegaa to kyaa kahegaa
· · ·
Anwar Nizami Jabalpuri
pahlu mein main dabaae hue dard-o-gham uThaa
mahfil se teri jab bhi uThaa chashm-e-nam uThaa
Thokar se gard-e-raah aDi rahnumaa bani
manzil ki samt jab bhi hamaaraa qadam uThaa
· · ·
Anwar Nizami Jabalpuri
qayaamat se nahin kam us pe aa jaanaa mire dil kaa
bahut mushkil hai ab aasaan honaa meri mushkil kaa
nigaah-e-yaas ne kyaa kah diyaa qaatil se maqtal mein
taDaptaa hai jo khanjar kaanptaa hai haath qaatil kaa
· · ·
Anwar Nizami Jabalpuri
dil se kisi ki yaad bhulaane chalaa thaa main
jaltaa huaa charaagh bujhaane chalaa thaa main
sharminda huun ye kah ke ulaT dijiye naqaab
mahshar se pahle hashr uThaane chalaa thaa main
· · ·
Anwar Nizami Jabalpuri
apne ghar se vo mire ghar aa gayaa
chaand aakhir had ke baahar aa gayaa
khat pahunch saktaa hai ab ummid hai
us kaa patthar meri chhat par aa gayaa
· · ·
Anwar Nizami Jabalpuri
tu jaantaa hai tire jaan-nisaar hain ham log
rah-e-vafaa mein magar sangsaar hain ham log
hamaare azm hain milon ke pattharon ki tarah
tiraa nishaan tiri rahguzaar hain ham log
· · ·







