Shayari
tujh se bichhaDnaa koi nayaa haadsa nahin
aise hazaaron qisse hamaari khabar mein hain
safar to pahle bhi kitne kiye magar is baar
ye lag rahaa hai ki tujh ko bhi bhuul jaaeinge
سفر تو پہلے بھی کتنے کیے مگر اس بار
یہ لگ رہا ہے کہ تجھ کو بھی بھول جائیں گے
सफ़र तो पहले भी कितने किए मगर इस बार
ये लग रहा है कि तुझ को भी भूल जाएँगे

tujh se bichhaDnaa koi nayaa haadsa nahin
aise hazaaron qisse hamaari khabar mein hain
ye baat yaad rakheinge talaashne vaale
jo us safar pe gae lauT kar nahin aae
arse se is dayaar ki koi khabar nahin
mohlat mile to aaj kaa akhbaar dekh lein
kyuun khilaune TuTne par aab-dida ho gae
ab tumhein ham kyaa bataaein kyaa pareshaani hui
ek manzar mein lipTe badan ke sivaa
sard raaton mein kuchh aur dikhtaa nahin
sabhi ko apnaa samajhtaa huun kyaa huaa hai mujhe
bichhaD ke tujh se ajab rog lag gayaa hai mujhe
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
dil dhaDaktaa hai sar-e-raah-e-khayaal
ab ye aavaaz jahaan tak pahunche
mere maahaul mein har samt bure log nahin
kuchh bhale bhi mire hamraah chale aate hain