Shayari
is raaz ko kyaa jaanein saahil ke tamaashaai
ham Duub ke samjhe hain dariyaa tiri gahraai
mere maahaul mein har samt bure log nahin
kuchh bhale bhi mire hamraah chale aate hain
میرے ماحول میں ہر سمت برے لوگ نہیں
کچھ بھلے بھی مرے ہم راہ چلے آتے ہیں
मेरे माहौल में हर सम्त बुरे लोग नहीं
कुछ भले भी मिरे हमराह चले आते हैं

is raaz ko kyaa jaanein saahil ke tamaashaai
ham Duub ke samjhe hain dariyaa tiri gahraai
mujh ko haalaat mein uljhaa huaa rahne de yunhi
main tiri zulf nahin huun jo sanvar jaaungaa
mere daaman mein agar kuchh na rahegaa baaqi
agli naslon ko duaa de ke chalaa jaaungaa
koi saughaat-e-vafaa de ke chalaa jaaungaa
tujh ko jiine ki adaa de ke chalaa jaaungaa
ye jabr bhi dekhaa hai taarikh ki nazron ne
lamhon ne khataa ki thi sadiyon ne sazaa paai
qarib aao to shaayad samajh mein aa jaae
ki faasle to ghalat-fahmiyaan baDhaate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge