Shayari
namaaz apni agarche kabhi qazaa na hui
adaa kisi ki jo dekhi to phir adaa na hui
gar hai duniyaa ki talab zaahid-e-makkaar se mil
diin hai matlub to is taalib-e-didaar se mil
گر ہے دنیا کی طلب زاہد مکار سے مل
دیں ہے مطلوب تو اس طالب دیدار سے مل
गर है दुनिया की तलब ज़ाहिद-ए-मक्कार से मिल
दीं है मतलूब तो इस तालिब-ए-दीदार से मिल

namaaz apni agarche kabhi qazaa na hui
adaa kisi ki jo dekhi to phir adaa na hui
gale se lagte hi jitne gile the bhuul gae
vagarna yaad thiin ham ko shikaayatein kyaa kyaa
dil-rubaa tujh saa jo dil lene mein ayyaari kare
phir koi dilli mein kyaa dil ki khabardaari kare
aag is dil-lagi ko lag jaae
dil-lagi aag phir lagaane lagi
ba-vaqt-e-bosa-e-lab kaash ye dil kaamraan hotaa
zabaan us bad-zabaan ki munh mein aur main zabaan hotaa
mai-kade mein ishq ke kuchh sarsari jaanaa nahin
kaasa-e-sar ko yahaan gardish hai paimaane ki tarah