Shayari
vahshiyon ko ye sabaq deti hui aai bahaar
taar baaqi na rahe koi garebaanon mein
kaun ab kashmakash-e-zist se de mujh ko najaat
kar chukaa hai miraa qaatil nazar-andaaz mujhe
کون اب کشمکش زیست سے دے مجھ کو نجات
کر چکا ہے مرا قاتل نظر انداز مجھے
कौन अब कश्मकश-ए-ज़ीस्त से दे मुझ को नजात
कर चुका है मिरा क़ातिल नज़र-अंदाज़ मुझे

vahshiyon ko ye sabaq deti hui aai bahaar
taar baaqi na rahe koi garebaanon mein
ishq mein aur bhi divaana banaa deti hai
meri aavaaz mein mil kar tiri aavaaz mujhe
palaT aataa huun main maayus ho kar un maqaamon se
jahaan se silsila nazdik-tar hotaa hai manzil kaa
tum kyon udaas ho gae maidaan-e-hashr mein
kah do to dil ki dil mein miri daastaan rahe
shaayad is baat pe lab mere siye jaate hain
aah ke saath nikal jaae na armaan koi
aankhon mein ashk daagh jigar mein labon pe aah
sab kuchh hai paas be-sar-o-saamaan nahin hain ham