Shayari
mujhe vo baaton baaton mein agar divaana kah dete
to divaanon mein meri mo'atabar divaangi hoti
ek hi chiiz hai parde mein ki bairun-e-hijaab
mujh ko zaahir bhi kiyaa khud ko chhupaayaa bhi gayaa
ایک ہی چیز ہے پردے میں کہ بیرون حجاب
مجھ کو ظاہر بھی کیا خود کو چھپایا بھی گیا
एक ही चीज़ है पर्दे में कि बैरून-ए-हिजाब
मुझ को ज़ाहिर भी किया ख़ुद को छुपाया भी गया

mujhe vo baaton baaton mein agar divaana kah dete
to divaanon mein meri mo'atabar divaangi hoti
vafaadaari ghurur-e-be-rukhi ko khatm kar degi
ziyaada to nahin kuchh din rahein vo bad-gumaan shaayad
hansaa karte hain akasr log divaanon ki baaton par
jahaan vaale nahin samjhe mohabbat ki zabaan shaayad
agar teri tarah tabligh kartaa pir-e-mai-khaana
to duniyaa-bhar mein vaaiz mai-kashi hi mai-kashi hoti
mizaaj-e-husn to ik haal par rahaa qaaem
luTaane vaalon ne sab kuchh luTaa ke dekh liyaa
dil ke aaine mein jab aap ki surat dekhi
jis ko dhokaa main samajhtaa thaa vo dhokaa bhi gayaa