Shayari
tu jo is duniyaa ki khaatir apnaa-aap ganvaataa hai
ai dil-e-man ai mere musaafir kaam hai ye naa-daanon kaa
ek basti thi hui vaqt ke andoh mein gum
chaahne vaale bahut apne puraane the udhar
ایک بستی تھی ہوئی وقت کے اندوہ میں گم
چاہنے والے بہت اپنے پرانے تھے ادھر
एक बस्ती थी हुई वक़्त के अंदोह में गुम
चाहने वाले बहुत अपने पुराने थे उधर

tu jo is duniyaa ki khaatir apnaa-aap ganvaataa hai
ai dil-e-man ai mere musaafir kaam hai ye naa-daanon kaa
be-hunar dekh na sakte the magar dekhne aa.e
dekh sakte the magar ahl-e-hunar dekh na paa.e
hai ek hi lamha jo kahin vasl kahin hijr
taklif kisi ke liye aaraam kisi kaa
jahaan na apne azizon ki diid hoti hai
zamin-e-hijr pe bhi koi iid hoti hai
ji lagaa rakkhaa hai yuun taabir ke auhaam se
zindagi kyaa hai miyaan bas ek ghar khvaabon kaa hai
main apnaa kaar-e-vafaa aazmaaungaa phir bhi
kahaan main tere sitam yaad karne vaalaa huun