Shayari
nafrat bhi usi se hai parastish bhi usi ki
is dil saa koi ham ne to kaafar nahin dekhaa
har daur mein rahaa yahi aain-e-munsifi
jo sar na jhuk sake vo qalam kar diye gae
ہر دور میں رہا یہی آئین منصفی
جو سر نہ جھک سکے وہ قلم کر دئیے گئے
हर दौर में रहा यही आईन-ए-मुंसिफ़ी
जो सर न झुक सके वो क़लम कर दिए गए

nafrat bhi usi se hai parastish bhi usi ki
is dil saa koi ham ne to kaafar nahin dekhaa
ham apne ishq ki ab aur kyaa shahaadat dein
hamein hamaare raqibon ne mo'tabar jaanaa
is raah-e-mohabbat mein tu saath agar hotaa
har gaam pe gul khilte khushbu kaa safar hotaa
had ho gai thi ham se mohabbat mein kufr ki
jaise khudaa-na-khvaasta vo laa-sharik thaa
main jab bhi ghar se nikaltaa huun raat ko tanhaa
charaagh le ke koi saath saath chaltaa hai
visaal-e-yaar ki khvaahish mein aksar
charaagh-e-shaam se pahle jalaa huun