Shayari
mujhe na Dar hai qayaamat kaa ab na khauf-e-ajal
main dard-e-tark-e-mulaaqaat sah ke aaya huun
ab us ke lahje mein akhbaar ki si khushki hai
ham ab bhi saath mein hote to vo ghazal hoti
اب اس کے لہجے میں اخبار کی سی خشکی ہے
ہم اب بھی ساتھ میں ہوتے تو وہ غزل ہوتی
अब उस के लहजे में अख़बार की सी ख़ुश्की है
हम अब भी साथ में होते तो वो ग़ज़ल होती

mujhe na Dar hai qayaamat kaa ab na khauf-e-ajal
main dard-e-tark-e-mulaaqaat sah ke aaya huun
ho duur pa yuun mujh mein samaai ho ki jaise
ashk aankhon se niklein bhi to nam rahti hain aankhein
tujh se jab guftugu nahin hoti
khud se teri hi baat kartaa huun
main ne chaahaa hai jise yuun to mukammal hai magar
ik kami hai ki use urdu nahin aati hai
subh ki chaae se phir aaiin yaad
tere pahlu mein chaae ki shaamein
hai tirgi se jang muqaabil aur apne saath
jugnu ki saf hai jashn-e-charaaghaan nahin to kyaa