Shayari
kamaal-e-husn hai husn-e-kamaal se baahar
azal kaa rang hai jaise misaal se baahar
koi chale to zamin saath saath chalti hai
ye raaz ham pe ayaan gard-e-rahguzar se huaa
کوئی چلے تو زمیں ساتھ ساتھ چلتی ہے
یہ راز ہم پہ عیاں گرد رہ گزر سے ہوا
कोई चले तो ज़मीं साथ साथ चलती है
ये राज़ हम पे अयाँ गर्द-ए-रहगुज़र से हुआ

kamaal-e-husn hai husn-e-kamaal se baahar
azal kaa rang hai jaise misaal se baahar
tiir aayaa thaa jidhar ye mire shahr ke log
kitne saadaa hain ki marham bhi vahin dekhte hain
vo saamne hai phir bhi dikhaai na de sake
mere aur us ke beach ye divaar kaun hai
jis taraf tu hai udhar hongi sabhi ki nazrein
iid ke chaand kaa didaar bahaana hi sahi
tumhi ne kaun si achchhaai ki hai
chalo maanaa ki main achchhaa nahin thaa
be-samar peDon ko chumeinge sabaa ke sabz lab
dekh lenaa ye khizaan be-dast-o-paa rah jaaegi