Shayari
sarhadein mujh ko detin ijaazat agar
phir main makka madina kahaan chhoDtaa
ek din main kisi par hansaa thaa miyaan
phir kai roz tak mujh ko ronaa paDaa
ایک دن میں کسی پر ہنسا تھا میاں
پھر کئی روز تک مجھ کو رونا پڑا
एक दिन मैं किसी पर हँसा था मियाँ
फिर कई रोज़ तक मुझ को रोना पड़ा

sarhadein mujh ko detin ijaazat agar
phir main makka madina kahaan chhoDtaa
masala jo bhi ho hal ho jaae
tujh ko sochun to ghazal ho jaae
log logon se dosti kar ke
kitnaa saste mein bech dete hain
tere haathon mile agar murshid
chaae piinaa savaab lagtaa hai
munh kabhi ham ne apnon se moDaa nahin
shahr mein bas ke bhi gaanv chhoDaa nahin
'ishq dariyaa mein jab se bahne lagaa
mauj-dar-mauj she'r kahne lagaa