Shayari
sarhadein mujh ko detin ijaazat agar
phir main makka madina kahaan chhoDtaa
tere haathon mile agar murshid
chaae piinaa savaab lagtaa hai
تیرے ہاتھوں ملے اگر مرشد
چائے پینا ثواب لگتا ہے
तेरे हाथों मिले अगर मुर्शिद
चाय पीना सवाब लगता है

sarhadein mujh ko detin ijaazat agar
phir main makka madina kahaan chhoDtaa
masala jo bhi ho hal ho jaae
tujh ko sochun to ghazal ho jaae
log logon se dosti kar ke
kitnaa saste mein bech dete hain
munh kabhi ham ne apnon se moDaa nahin
shahr mein bas ke bhi gaanv chhoDaa nahin
'ishq dariyaa mein jab se bahne lagaa
mauj-dar-mauj she'r kahne lagaa
niind ke ghar mein hain khvaab aane lage
'ishq hai naachtaa aankh ke sahn mein
baDi hi andheri Dagar hai miyaan
jahaan ham faqiron kaa ghar hai miyaan
sajda huaa hamesha faqiron ke ilm par
ham aagahi pe marte hain poshaak par nahin
us ke dar par main gayaa saang banaae to kahaa
chal be chal duur ho kyaa le ke faqiri aayaa
faqir log rahe apne apne haal mein mast
nahin to shahr kaa naqsha badal chukaa hotaa
fasl-e-bahaar aai piyo sufiyo sharaab
bas ho chuki namaaz musallaa uThaaiye
mard-e-darvesh huun takiya hai tavakkul meraa
kharch har roz hai yaan aamad-e-baalaai kaa