Shayari
mire junun ko havas mein shumaar kar legaa
vo mere tiir se mujh ko shikaar kar legaa
aziyyaton ki bhi apni hi ek lazzat hai
main shahr shahr phirun nekiyaan talaash karun
اذیتوں کی بھی اپنی ہی ایک لذت ہے
میں شہر شہر پھروں نیکیاں تلاش کروں
अज़िय्यतों की भी अपनी ही एक लज़्ज़त है
मैं शहर शहर फिरूँ नेकियाँ तलाश करूँ

mire junun ko havas mein shumaar kar legaa
vo mere tiir se mujh ko shikaar kar legaa
kaisaa firaaq kaisi judaai kahaan kaa hijr
vo jaaegaa agar to khayaalon mein aaegaa
zabaan-bandi ke mausam mein gali-kuchon ki mat puchho
parindon ke chahakne se shajar aabaad hote hain
zamin ki god mein itnaa sukun thaa 'anjum'
ki jo gayaa vo safar ki thakaan bhuul gayaa
allaah ke ghar der hai andher nahin hai
tu yaas ke mausam mein bhi ummid kaa fan siikh
kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai