Shayari
jo hansnaa hansaanaa hotaa hai
rone ko chhupaanaa hotaa hai
mumkin hai ki ho jaae nasha is se zaraa saa
phir aap kaa chaalaan bhi ho saktaa hai is se
ممکن ہے کہ ہو جائے نشہ اس سے ذرا سا
پھر آپ کا چالان بھی ہو سکتا ہے اس سے
मुमकिन है कि हो जाए नशा इस से ज़रा सा
फिर आप का चालान भी हो सकता है इस से

jo hansnaa hansaanaa hotaa hai
rone ko chhupaanaa hotaa hai
is vaqt vahaan kaun dhuaan dekhne jaae
akhbaar mein paDh leinge kahaan aag lagi thi
chaae bhi achchhi banaati hain miri begam magar
munh banaane mein to un kaa koi saani hi nahin
raat aai hai balaaon se rihaai degi
ab na divaar na zanjir dikhaai degi
ajiib lutf thaa naadaaniyon ke aalam mein
samajh mein aaiin to baaton kaa vo maza bhi gayaa
hamein qarina-e-ranjish kahaan mayassar hai
ham apne bas mein jo hote tiraa gilaa karte