Shayari
khirad ki aag mein sadiyon jale badan lekin
dil-o-dimaagh se bu-e-munaafirat na gai
miri talaash mein hai koi aisaa lagtaa hai
kisi kaa gum-shuda 'shaadaab' rakht huun shaayad
مری تلاش میں ہے کوئی ایسا لگتا ہے
کسی کا گم شدہ شادابؔ رخت ہوں شاید
मिरी तलाश में है कोई ऐसा लगता है
किसी का गुम-शुदा 'शादाब' रख़्त हूँ शायद

khirad ki aag mein sadiyon jale badan lekin
dil-o-dimaagh se bu-e-munaafirat na gai
zindagi jis ke tasavvur mein basar ki ham ne
haae vo shakhs haqiqat mein kahaani niklaa
jo apne aap se baDh kar hamaaraa apnaa thaa
use qarib se dekhaa to duur kaa niklaa
shaayad koi kami mere andar kahin pe hai
main aasmaan pe huun miraa saaya zamin pe hai
mujhe kisi ne sunaa hi nahin tavajjoh se
main bad-zabaan sadaa-e-karakht huun shaayad
aandhiyaan sab kuchh uDaa kar le gaiin
peD par patta na phal daaman mein thaa