Shayari
ek parda hai be-sabaati kaa
aaine aur tire jamaal ke biich
usi ki baat likhi chaahe kam likhi ham ne
usi kaa zikr kiyaa chaahe khaal-khaal kiyaa
اسی کی بات لکھی چاہے کم لکھی ہم نے
اسی کا ذکر کیا چاہے خال خال کیا
उसी की बात लिखी चाहे कम लिखी हम ने
उसी का ज़िक्र किया चाहे ख़ाल-ख़ाल किया

ek parda hai be-sabaati kaa
aaine aur tire jamaal ke biich
talaash-e-rizq kaa ye marhala ajab hai ki ham
gharon se duur bhi ghar ke liye base hue hain
tumhaare hijr mein marnaa thaa kaun saa mushkil
tumhaare hijr mein zinda hain ye kamaal kiyaa
abhi to main ne faqat baarishon ko jhelaa hai
ab is ke baa'd samundar bhi dekhnaa hai mujhe
ik baras ho gayaa use dekhe
ik sadi aa gai hai saal ke biich
banaa rahaa huun abhi ghar ko aaina-khaana
phir apne haath mein patthar bhi dekhnaa hai mujhe