Shayari
ek parda hai be-sabaati kaa
aaine aur tire jamaal ke biich
abhi to main ne faqat baarishon ko jhelaa hai
ab is ke baa'd samundar bhi dekhnaa hai mujhe
ابھی تو میں نے فقط بارشوں کو جھیلا ہے
اب اس کے بعد سمندر بھی دیکھنا ہے مجھے
अभी तो मैं ने फ़क़त बारिशों को झेला है
अब इस के ब'अद समुंदर भी देखना है मुझे

ek parda hai be-sabaati kaa
aaine aur tire jamaal ke biich
ik baras ho gayaa use dekhe
ik sadi aa gai hai saal ke biich
banaa rahaa huun abhi ghar ko aaina-khaana
phir apne haath mein patthar bhi dekhnaa hai mujhe
havas na jaan tujhe chhu ke dekhnaa ye hai
tujhe hi dekh rahe hain ki khvaab dekhte hain
subu mein aks-e-rukh-e-maahtaab dekhte hain
sharaab piite nahin ham sharaab dekhte hain
apne hi pairon se apnaa-aap raund
apni hasti ko miTaa kar raqs kar
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
baadalon ne aaj barsaayaa lahu
amn kaa har faakhta rone lagaa
maaein darvaazon par hain
baarish hone vaali hai
vo gulaabi baadalon mein ek niili jhiil si
hosh qaaem kaise rahte thaa hi kuchh aisaa libaas
masjid abru mein teri mardumuk hai jiyun imaam
mu-e-mizhgaan muqtadi ho mil ke karte hain namaaz
fariyaad ai tasavvur-e-abru-e-dil-fareb
qible ki samt bhuul gayaa huun namaaz mein