Shayari
andhere mein tajassus kaa taqaazaa chhoD jaanaa hai
kisi din khaamushi mein khud ko tanhaa chhoD jaanaa hai
saron ke bojh ko shaanon pe rakhnaa mojaza bhi hai
har ik pal varna ham bhi halqa-e-sarmad mein rahte hain
سروں کے بوجھ کو شانوں پہ رکھنا معجزہ بھی ہے
ہر اک پل ورنہ ہم بھی حلقۂ سرمد میں رہتے ہیں
सरों के बोझ को शानों पे रखना मोजज़ा भी है
हर इक पल वर्ना हम भी हल्क़ा-ए-सरमद में रहते हैं

andhere mein tajassus kaa taqaazaa chhoD jaanaa hai
kisi din khaamushi mein khud ko tanhaa chhoD jaanaa hai
rafta rafta khatm qissa ho gayaa honaa hi thaa
vo bhi aakhir mere jaisaa ho gayaa honaa hi thaa
na jaane kab koi aa kar miri takmil kar jaae
isi ummid pe khud ko adhuraa chhoD jaanaa hai
zahr mein Duubi hui parchhaaiyon kaa raqs hai
khud se vaabasta yahaan main bhi nahin tu bhi nahin
canvas par hai ye kis kaa paikar-e-harf-o-sadaa
ik numud-e-aarzu jo be-nishaan hai aur bas
saunpoge apne baa'd viraasat mein kyaa mujhe
bachche kaa ye savaal hai gunge samaaj se