Shayari
ye dil mein vasvasa kyaa pal rahaa hai
tiraa milnaa bhi mujh ko khal rahaa hai
taa-ki na nigaahon ko andhere nazar aaein
aaina ujaalon ne ye chamkaayaa huaa hai
تاکہ نہ نگاہوں کو اندھیرے نظر آئیں
آئینہ اجالوں نے یہ چمکایا ہوا ہے
ता-कि न निगाहों को अंधेरे नज़र आएँ
आईना उजालों ने ये चमकाया हुआ है

ye dil mein vasvasa kyaa pal rahaa hai
tiraa milnaa bhi mujh ko khal rahaa hai
bhuul baiThaa huun main zamaane ko
ab zamaana bhi bhuul jaae mujhe
teraa meraa hai gumaan kaa rishta
tu hai meri tiri ijaad huun main
aansuon ko fuzul mat samjho
ye baDe qimti sahaare hain
ajnabi mujh se aa gale mil le
aaj ik dost yaad aae mujhe
jatan to khuub kiye us ne Taalne ke magar
main us ki bazm se us ke javaab tak na uThaa