Shayari
muskuraa kar agar vo dekhe to
aaine par nishaan paD jaae
paDhi jab shaa'iri be-saakhta munh se yahi niklaa
takalluf-bar-taraf ash'aar se tasvir behtar hai
پڑھی جب شاعری بے ساختہ منہ سے یہی نکلا
تکلف بر طرف اشعار سے تصویر بہتر ہے
पढ़ी जब शा'इरी बे-साख़्ता मुँह से यही निकला
तकल्लुफ़-बर-तरफ़ अश'आर से तस्वीर बेहतर है

muskuraa kar agar vo dekhe to
aaine par nishaan paD jaae
kunj-e-hairat se chale dasht-e-ziyaan tak laae
kaun laa saktaa hai ham dil ko jahaan tak laae
ek ummid ke sahaare par
kitni taakhir dekh lete hain
kyaa khabar kaun saa rasta tiri jaanib nikle
be-iraada bhi kai baar safar karte hain
laD rahaa huun main akelaa kaar-zaar-e-hast mein
kar faraaham tu bhi zaalim apne hone kaa javaaz
paD jaate hain kitne chhaale haathon mein
aate hain phir chand nivaale haathon mein