Shayari
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
kyaa huaa arsh par gayaa naala
dil mein us shokh ke to raah na ki
کیا ہوا عرش پر گیا نالہ
دل میں اس شوخ کے تو راہ نہ کی
क्या हुआ अर्श पर गया नाला
दिल में उस शोख़ के तो राह न की
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
'fitrat' dil-e-kaunain ki dhaDkan to zaraa sun
ye hazrat-e-insaan hi ki azmat kaa bayaan hai
dil jo ummid-vaar hotaa hai
tir-e-gham kaa shikaar hotaa hai
mere dil mein miri aankhon mein nazar mein rahiye
kam se kam aap kisi ek to ghar mein rahiye
na puchh us ki dil-afsurdagi ki kaifiyyat
jo gham-nasib khushi mein bhi muskuraa na sakaa