Shayari
ye chaar din ke tamaashe hain aah duniyaa ke
rahaa jahaan mein sikandar na aur na jam baaqi
chhaani kahaan na khaak na paayaa kahin tumhein
miTTi miri kharaab abas dar-ba-dar hui
چھانی کہاں نہ خاک نہ پایا کہیں تمہیں
مٹی مری خراب عبث در بدر ہوئی
छानी कहाँ न ख़ाक न पाया कहीं तुम्हें
मिट्टी मिरी ख़राब अबस दर-ब-दर हुई

ye chaar din ke tamaashe hain aah duniyaa ke
rahaa jahaan mein sikandar na aur na jam baaqi
ai 'rasaa' jaisaa hai bargashta zamaana ham se
aisaa bargashta kisi kaa na muqaddar hogaa
na bosa lene dete hain na lagte hain gale mere
abhi kam-umr hain har baat par mujh se jhijakte hain
baat karne mein jo lab us ke hue zer-o-zabar
ek saaat mein tah-o-baalaa zamaana ho gayaa
ye kah do bas maut se ho rukhsat kyuun naahaq aai hai us ki shaamat
ki dar talak vo masih-khaslat miri ayaadat ko aa chuke hain
abhi to aae ho jaldi kahaan hai jaane ki
uTho na pahlu se Thahro zaraa kidhar ko chale