Shayari
phir gardish-e-dauraan se ulajhnaa nahin mushkil
ghurbat mein jo pindaar-e-tab-o-taab na TuuTe
har samt hai viraani si viraani kaa aalam
ab ghar saa nazar aane lagaa hai miraa ghar bhi
ہر سمت ہے ویرانی سی ویرانی کا عالم
اب گھر سا نظر آنے لگا ہے مرا گھر بھی
हर सम्त है वीरानी सी वीरानी का आलम
अब घर सा नज़र आने लगा है मिरा घर भी

phir gardish-e-dauraan se ulajhnaa nahin mushkil
ghurbat mein jo pindaar-e-tab-o-taab na TuuTe
simTaa tiraa khayaal to dil mein samaa gayaa
phailaa to is qadar ki samundar lagaa mujhe
hoti rahi aankhon se jo yuun khuun ki baarish
dil khatm na ho jaae jigar khatm na ho jaae
har nashtar-e-tafriq ne marham kaa kiyaa kaam
toDe gae lekin mire ahbaab na TuuTe
ghar mein bhi nazar aaeinge andaaz-e-bayaabaan
jab tak miri vahshat kaa asar khatm na ho jaae