Shayari
sab ko bataa diyaa ki main behad udaas huun
itni si baat ko bhi khabar kar diyaa gayaa
us musavvir ke hunar ko dekh kar
rang khud mein bhar liye tasvir ne
اس مصور کے ہنر کو دیکھ کر
رنگ خود میں بھر لیے تصویر نے
उस मुसव्विर के हुनर को देख कर
रंग ख़ुद में भर लिए तस्वीर ने

sab ko bataa diyaa ki main behad udaas huun
itni si baat ko bhi khabar kar diyaa gayaa
ghar ke andar itne ghar hain is ko kaise toDun main
yaar kabutar rahte hain is ghar ke raushan-daanon mein
tumhein dekhtaa huun so zinda huun main
mujhe saans aati hai aankhon se ab
sar paTak kar dekhnaa hai ek baar
'ishq ko patthar kahaa thaa 'mir' ne
us ke dil se nikle to ham khud ke dil tak aa pahunche
aanaa jaanaa hotaa rahtaa hai apnaa viraanon mein
milnaa hai teri ruuh se ham ko badan baghair
apnaa libaas-e-jism utaare hue hain ham