Shayari
main zakhm khaa ke giraa thaa ki thaam us ne liyaa
muaaf kar ke mujhe intiqaam us ne liyaa
roz aaseb aate jaate hain
aisaa kyaa hai gharib-khaane mein
روز آسیب آتے جاتے ہیں
ایسا کیا ہے غریب خانے میں
रोज़ आसेब आते जाते हैं
ऐसा क्या है ग़रीब-ख़ाने में

main zakhm khaa ke giraa thaa ki thaam us ne liyaa
muaaf kar ke mujhe intiqaam us ne liyaa
ab vo titli hai na vo umr taaaqub vaali
main na kahtaa thaa bahut duur na jaanaa mire dost
kabhi dekhaa hi nahin us ne pareshaan mujh ko
main ki rahtaa huun sadaa apni nigahbaani mein
us ko jaane de agar jaataa hai
zahr kam ho to utar jaataa hai
harf apne hi maaani ki tarah hotaa hai
pyaas kaa zaaiqa paani ki tarah hotaa hai
dukh nahin hai ki jal rahaa huun main
raushni mein badal rahaa huun main