Shayari
jism-e-aazaadi mein phunki tu ne majburi ki ruuh
khair jo chaahaa kiyaa ab ye bataa ham kyaa karein
har musibat kaa diyaa ek tabassum se javaab
is tarah gardish-e-dauraan ko rulaayaa main ne
ہر مصیبت کا دیا ایک تبسم سے جواب
اس طرح گردش دوراں کو رلایا میں نے
हर मुसीबत का दिया एक तबस्सुम से जवाब
इस तरह गर्दिश-ए-दौराँ को रुलाया मैं ने

jism-e-aazaadi mein phunki tu ne majburi ki ruuh
khair jo chaahaa kiyaa ab ye bataa ham kyaa karein
kisi ke ek ishaare mein kis ko kyaa na milaa
bashar ko ziist mili maut ko bahaana milaa
apni jannat mujhe dikhlaa na sakaa tu vaaiz
kucha-e-yaar mein chal dekh le jannat meri
rone ke bhi aadaab huaa karte hain 'faani'
ye us ki gali hai teraa gham-khaana nahin hai
mujh tak us mahfil mein phir jaam-e-sharaab aane ko hai
umr-e-rafta palTi aati hai shabaab aane ko hai
ham hain us ke khayaal ki tasvir
jis ki tasvir hai khayaal apnaa