Shayari
us kaa milnaa hai ajab tarah kaa mujh se milnaa
dasht-e-imkaan mein ho phulon kaa jaise khilnaa
mil hi jaaoge mujhe vaqt ki gardish se pare
bas zaraa jism ki divaar giraani hogi
مل ہی جاؤ گے مجھے وقت کی گردش سے پرے
بس ذرا جسم کی دیوار گرانی ہوگی
मिल ही जाओगे मुझे वक़्त की गर्दिश से परे
बस ज़रा जिस्म की दीवार गिरानी होगी

us kaa milnaa hai ajab tarah kaa mujh se milnaa
dasht-e-imkaan mein ho phulon kaa jaise khilnaa
ham bhuul gae ahd-o-karam tere sitam bhi
ab tujh se zamaane se gila kuchh bhi nahin hai
nahin nasib mein manzil to raaste kyon hain
tavil-tar ye judaai ke silsile kyon hain
is teri mohabbat mein milaa kuchh bhi nahin hai
main jaan gai huun ki sila kuchh bhi nahin hai
had-e-imkaan se pare tak main tujhe chaahungi
tu mujhe apne mayassar ki hadon mein milnaa
ye khad-o-khaal bhi lagte hain ab paraae se
mujhe dikhaate nahin hain to aaine kyon hain