Shayari
ham us ke jabr kaa qissa tamaam chaahte hain
aur us ki tegh hamaaraa zavaal chaahti hai
havaa ke honT khulein saaat-e-kalaam to aae
ye ret jaisaa badan aandhiyon ke kaam to aae
ہوا کے ہونٹ کھلیں ساعت کلام تو آئے
یہ ریت جیسا بدن آندھیوں کے کام تو آئے
हवा के होंट खुलें साअत-ए-कलाम तो आए
ये रेत जैसा बदन आँधियों के काम तो आए

ham us ke jabr kaa qissa tamaam chaahte hain
aur us ki tegh hamaaraa zavaal chaahti hai
tamaam umr use chaahnaa na thaa mumkin
kabhi kabhi to vo is dil pe baar ban ke rahaa
bhale hi chhaanv na de aasraa to detaa hai
ye aarzu kaa shajar hai khizaan-rasida sahi
phir yahi rut ho ain mumkin hai
par tiraa intizaar ho ki na ho
tumhaare dar se uThaae gae malaal nahin
vahaan to chhoD ke aae hain ham ghubaar apnaa
zindagaani mein sabhi rang the mahrumi ke
tujh ko dekhaa to main ehsaas-e-ziyaan se niklaa