Shayari
ab to ye aarzu hai ki vo zakhm khaaiye
taa-zindagi ye dil na koi aarzu kare
Verses of yearning — wishes that burn quietly in the heart.
ab to ye aarzu hai ki vo zakhm khaaiye
taa-zindagi ye dil na koi aarzu kare
rahi na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhi
to kis umiid pe kahiye ki aarzu kyaa hai
ye kam-bakht ik jahaan-e-aarzu hai
na ho koi hamaaraa dil ho ham huun
marte hain aarzu mein marne ki
maut aati hai par nahin aati
ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamannaa mat puchh
id-e-nazzaara hai shamshir kaa uryaan honaa
tamannaa dard-e-dil ki ho to kar khidmat faqiron ki
nahin miltaa ye gauhar baadshaahon ke khazinon mein
ab us ki diid mohabbat nahin zarurat hai
ki us se mil ke bichhaDne ki aarzu hai bahut
ab dil ki tamannaa hai to ai kaash yahi ho
aansu ki jagah aankh se hasrat nikal aae
yahaan kisi ko bhi kuchh hasb-e-aarzu na milaa
kisi ko ham na mile aur ham ko tu na milaa
ik tarz-e-taghaaful hai so vo un ko mubaarak
ik arz-e-tamannaa hai so ham karte raheinge
nazar-e-taghaaful-e-yaar kaa gila kis zabaan siin karun bayaan
ki sharaab-e-sad-qadah aarzu khum-e-dil mein thi so bhari rahi
main ghar se teri tamannaa pahan ke jab niklun
barahna shahr mein koi nazar na aae mujhe
phunkaa hai kis ne gosh-e-mohabbat mein ai khudaa
afsun-e-intizaar tamannaa kahein jise
fareb-e-aarzu ki sahl-angaari nahin jaati
ham apne dil ki dhaDkan ko tiri aavaaz-e-paa samjhe
aashiqi sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karun khun-e-jigar hote tak
hai kahaan tamannaa kaa dusraa qadam yaa-rab
ham ne dasht-e-imkaan ko ek naqsh-e-paa paayaa
kamaal-e-ishq bhi khaali nahin tamannaa se
jo hai ik aah to us ko bhi hai asar ki talab
aarzu khuub hai mauqaa se agar ho varna
apne maqsud ko kam pahunche hain bisyaar-talab
saraapaa aarzu hone ne banda kar diyaa ham ko
vagarna ham khudaa the gar dil-e-be-muddaaa hote
marte marte dekhne ki aarzu rah jaaegi
vaae naakaami ki us kaafir kaa khanjar tez hai