Shayari
ye aarzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
ham aur bulbul-e-betaab guftugu karte
baad farhaad ke phir koh-kani main ne ki
baad majnun ke kiyaa main ne bayaabaan aabaad
بعد فرہاد کے پھر کوہ کنی میں نے کی
بعد مجنوں کے کیا میں نے بیاباں آباد
ब'अद फ़रहाद के फिर कोह-कनी मैं ने की
ब'अद मजनूँ के किया मैं ने बयाबाँ आबाद

ye aarzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
ham aur bulbul-e-betaab guftugu karte
uTh gai hain saamne se kaisi kaisi suratein
roiye kis ke liye kis kis kaa maatam kijiye
ajab teri hai ai mahbub surat
nazar se gir gae sab khubsurat
us gul-badan ki bu-e-badan kuchh na puchhiye
band-e-qabaa jo khol diye ghar mahak gayaa
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
main us gulshan kaa bulbul huun bahaar aane nahin paati
ki sayyaad aan kar meraa gulistaan mol lete hain