Shayari
ye aarzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
ham aur bulbul-e-betaab guftugu karte
bandish-e-alfaaz jaDne se nagon ke kam nahin
shaairi bhi kaam hai 'aatish' murassa-saaz kaa
بندش الفاظ جڑنے سے نگوں کے کم نہیں
شاعری بھی کام ہے آتشؔ مرصع ساز کا
बंदिश-ए-अल्फ़ाज़ जड़ने से नगों के कम नहीं
शाइ'री भी काम है 'आतिश' मुरस्सा-साज़ का

ye aarzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
ham aur bulbul-e-betaab guftugu karte
uTh gai hain saamne se kaisi kaisi suratein
roiye kis ke liye kis kis kaa maatam kijiye
ajab teri hai ai mahbub surat
nazar se gir gae sab khubsurat
us gul-badan ki bu-e-badan kuchh na puchhiye
band-e-qabaa jo khol diye ghar mahak gayaa
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
main us gulshan kaa bulbul huun bahaar aane nahin paati
ki sayyaad aan kar meraa gulistaan mol lete hain