Shayari
ye aarzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
ham aur bulbul-e-betaab guftugu karte
bastiyaan hi bastiyaan hain gumbad-e-aflaak mein
saikDon farsang majnun se bayaabaan rah gayaa
بستیاں ہی بستیاں ہیں گنبد افلاک میں
سیکڑوں فرسنگ مجنوں سے بیاباں رہ گیا
बस्तियाँ ही बस्तियाँ हैं गुम्बद-ए-अफ़्लाक में
सैकड़ों फ़रसंग मजनूँ से बयाबाँ रह गया

ye aarzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
ham aur bulbul-e-betaab guftugu karte
uTh gai hain saamne se kaisi kaisi suratein
roiye kis ke liye kis kis kaa maatam kijiye
ajab teri hai ai mahbub surat
nazar se gir gae sab khubsurat
us gul-badan ki bu-e-badan kuchh na puchhiye
band-e-qabaa jo khol diye ghar mahak gayaa
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
main us gulshan kaa bulbul huun bahaar aane nahin paati
ki sayyaad aan kar meraa gulistaan mol lete hain