Shayari
itni jaldi nahin bichhaDnaa thaa
jitni jaldi bichhaD gai ho tum
ghar se main niklaa vuzu kar ke ibaadat ke liye
us ki khiDki khul gai aur phir ishaara ho gayaa
گھر سے میں نکلا وضو کر کے عبادت کے لئے
اس کی کھڑکی کھل گئی اور پھر اشارہ ہو گیا
घर से मैं निकला वुज़ू कर के इबादत के लिए
उस की खिड़की खुल गई और फिर इशारा हो गया

itni jaldi nahin bichhaDnaa thaa
jitni jaldi bichhaD gai ho tum
apne bistar pe dam na toD dein ham
teri baaton ko yaad kar kar ke
us ne kaisaa ye kaam kar Daalaa
meraa jiinaa haraam kar Daalaa
teraa chehra to dekh rakkhaa hai
had hai teri jabin nahin dekhi
kyon miraa intizaar karte ho
kis liye mujh se pyaar karte ho
chhat pe aai ho aaj barson baad
dekh kar chaand Dar na jaae kahin