Shayari
dekhte dekhte teraa chehra aur ik chehra ban jaataa hai
ik maanus malul saa chehra kab dekhaa thaa bhuul gayaa huun
aasudgi-aamoz ho jab aabla-paai
ho jaati hai manzil ki lagan dil mein tapaan aur
آسودگی آموز ہو جب آبلہ پائی
ہو جاتی ہے منزل کی لگن دل میں تپاں اور
आसूदगी-आमोज़ हो जब आबला-पाई
हो जाती है मंज़िल की लगन दिल में तपाँ और

dekhte dekhte teraa chehra aur ik chehra ban jaataa hai
ik maanus malul saa chehra kab dekhaa thaa bhuul gayaa huun
kyaa khabar meraa safar hai aur kitni duur kaa
kaaghzi ik naav huun aur tez-rau paani mein huun
na yaad ki chubhan koi na koi lau malaal ki
main jaane kitni duur yunhi khud se be-khabar gayaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
main tujh ko yaad kartaa huun ilaahi
tire bhi dil mein hogi yaad meri
dilli hui hai viraan suune khanDar paDe hain
viraan hain mohalle sunsaan ghar paDe hain
vaada jhuTaa kar liyaa chaliye tasalli ho gai
hai zaraa si baat khush karnaa dil-e-naashaad kaa
bane hain jab se vo lailaa nai mahmil mein rahte hain
jise divaana karte hain usi ke dil mein rahte hain